Z.B. Sayed   (Z.B. Sayed)
752 Followers · 825 Following

Poet/Writer
Author - A Place Called Selfdom
Co - author - Pitah - Ek Samarpit Charitra
Joined 23 January 2021


Poet/Writer
Author - A Place Called Selfdom
Co - author - Pitah - Ek Samarpit Charitra
Joined 23 January 2021
14 APR AT 4:18

Koi toh honga, woh jannat ka vaasi
Woh hum toh nahi
Bus tum hi sa koi, aur koi nahi

-


5 APR AT 19:00

Aedi choti ka zor lagalo
Hum sar par kafan baand kar aaye hai
Khtam karne tanashahi, dharm ki raajneeti
Hum Hindustan ka samveedhan saath laaye hai.

Jisse hai azaadi baat karne ki, himmat galat ke khilaf ladne ki
Hum sirf us falsafey ke aage aaj tak sar jhukae hai
Siyahi ki taqat se badal denge mustakbil apni sar zami ka
Hum hindustani es baar khud samvedhaan ban kar aaye hai.

-


20 MAR AT 19:42

Pinjre ke parinde saath toh hote hai
Aas paas toh hote hai
Pucch aaye mizaj koi udd jaane walo se
Zinda bache hai ya azaadi ne maar daala?

-


20 MAR AT 12:21

Khuda ki razamandi ka bus intezaar tha
Varna hunar hum mein bhi kamaal tha.

-


17 MAR AT 3:28

Aur hume kehte hai yeh musafir
Jaise khud toh abbe hayat pe kar es zami par utre hai

-


17 MAR AT 3:22

Yeh kysa pyar ka jaal hai
Sirf gham yaha abaad hai
Mehboob ke saath ka toh kuch aysa haal hai
Ke woh ho toh zindagi barbaad
Aur na ho toh aur barbaad hai

-


12 MAR AT 5:10

Maaf kar dena hume
Madad na kar paaye hum
Bhooke the jab apke bacche
Mazze se khane khaye hum

Matam manane ki jagah
Khushiya mana rahe the hum
Saath dene ki jagah
Kaam par aa ja rahe the hum

Chal rahi hai aaj bhi zindagi
Aaj bhi vaha bhukmari chaayi hai
Malbe ke neeche aakar
Jaane kitno ne apni jaan gavae hai

Par kya farak padta hai humko
Hume kab sharam aayi hai
Khud par na beete tab tak
Kisi aur ki sisak kaha deti sunae hai

Maaf kar dena hume
Vaise toh roz hum dekh rahe tv par yeh ladai hai
Par madat na ho payengi kisi ki
Kyo ki duniya ki aabo hava mein phaili na binayi hai.

-


21 FEB AT 11:12

Barbadi ki kagaar par khada hu
Abhi toh arzuo ka daman chod de
Abhi toh apna le mujh ko dilse
Kabhi toh mere liye bhi kuch accha bol de.

-


14 FEB AT 19:55

Akelepan ka marham dhundne nikle jab
Jaane kaise kitabo se ghar bhar gaya humara.

-


6 FEB AT 4:29

They don’t understand that homes are built on sacrifices
Not arms, drugs, war and scattered vices
My safe haven should have never been taken away
Just yesterday in the shade
Today burning up in the sun again
How much more longer will life test my faith
I have no hope left
My life has been an incident of theft
After a stormy night came a dead calm
For days together, trauma kept me alarmed
Nothing felt the same
We woke up different this time
I wasn’t me and they weren’t fine
Now life is a rocky road
Everything built in the air, has fallen to the floor
The light shines yet again but darkness has filled our hearts
Bruises have healed but scars are on our bodies are etched in graphic art
Stone cold, like dead bodies every minute we decay
Now no amount of warmth will ever make us turn from grey.

-


Fetching Z.B. Sayed Quotes