Yasmin Ansari  
409 Followers · 417 Following

Joined 22 July 2020


Joined 22 July 2020
29 APR AT 20:55


بہشت ہے قدموں تلے،یہ درجہ ہے ملا مُجھے

اب اس سے زیادہ کیا ہی ؟رب نوازے گا مُجھے

Bahesht hai qadmo tale,ye darja mila hai mujhe
Ab is se zyada kya hi ?rab nawazey ga mujhe

-


25 APR AT 20:24


خطا
۔۔۔۔
آ سائشوں کی بھوک،اسقدر تیز تھی
ضمیر کب مر گیا،پتہ ہی نہیں چلا
خلوص کو بیچ کر،بے حسی خرید لی
نرم گوشہ دل سے،تمیز بھی چلی گئ
اسی تول مول میں،
ضمیر کب مر گیا ،پتہ ہی نہیں چلا
کشش آسمان کی،اپنی اور کھینچتی رہی
انا کی ڈور تھام کر،غرور جب ہوا میں تھا
ضمیر کب مر گیا پتہ ہی نہیں چلا
میٹھی سی زبان جب زہر اُگلنے لگی،دلوں کو چیرنے لگی
زعم خودی کا بہت بڑھا،تب
ضمیر کب مر گیا ، پتہ ہی نہیں چلا
مدتوں ہوئ ضمیر کو مرے ہوۓ
ادھیڑ عمر میں جب
جسم لاغر ہوا
قوت بھی نہ رہی،
تب زبان سے فقط اک ہی دعا نکلی
معاف کر ،اے !خُدا، بہت بڑی خطا ہوئ
آشائشوں کی چاہ میں
روح گناہگار ہوئ

۔۔۔

-


25 APR AT 17:20

Asaishon ki bhook itni taiz thi
Zamir kab mar gaya pata bhi nahi chala
Aazmaishon se lad ke
Ghutan se tap ke
Zamir kab mar gaya pata bhi nahi chala
Nagwar tha har bura amal
Kab kahan pisla qadam ,pata bhi nahi chala
Ye bahut khoob hai,wo bhi to hai hasin
Sab dastaras mein ho meri
Bas isi chah mein
Zamir kab mar gaya pata bhi nahi chala
Khuchal gaye khulus ko
Apnaiyat ,taqdis ko
Behisi ki chadar
Odh li tan kar
Taish ke junoon mein
Zamir kab mar gaya pata bhi nahi chala



-


24 APR AT 21:06

وحشی صفت ،آج ہر بشر مل رہا ہے

اشرف المخلوقات اب بدل رہا ہے

کیاکریں امید اس دغا باز سے

جو اپنوں کو بھی کچل رہا ہے

Wehshi sifat,aaj har bashar mil raha hai
Ashraful makhloqat ab badal raha hai
Kya karein ummid is dagabaz se
Jo apno ko bhi kuchal raha hai

-


24 APR AT 20:51

Tagaful pe hamein hairat ho rahi hai
Markaz-e-dil ham hi hua kartey they

تغافل پہ ہمیں حیرت ہو رہی ہے

مرکزِ دل ہم ہی ہوا کرتے تھے

-


24 APR AT 17:03

Kho Gaye kuch is qadar kar-e-jahan mein
Mushkil se yaad aatey hain aashna hamein

کھو گۓ کُچھ اسقدر کارِ جہاں میں

مُشکل سے یاد آتے ہیں آشنا ہمیں

-


24 APR AT 14:32


تم تو کہتے تھے زمانے کو بدل دوگے

تمہے بھی بدلے اب زمانہ ہو رہا ہے

Tum to kehtey they zamane ko badal do gey
Tumhein bhi badle ab zamana ho raha hai

-


24 APR AT 5:22

Lipat kar roye bahut us khasta makan se
Saja tha har ek kona jis ka muskan se
Na jane kyun ab har shai udas lagti hai
Rangon mein shokhyan milti nahi hai
Safed aur kala rang
Bayan karta hai har kisi ka man
Mulaqat khushi se muddaton hoti nahi hai
Bas ek khamoosh ghadi chalti rehti hai
Dekhiye kab in ehsaas se
Dil-e-masoom ko najat milti hai
—-

-


24 APR AT 4:46

Ladkhadaye qadam to dekha hai
Kisi apney ne hi paththar phainka hai
Palat kar bas ek nazar tairana dali
Phir beaitenai se khud ko sambhala hai
Yehi duniya hai ke sab hota yahan hai
Paraya Apna,aur apna begana hota hai
Usloon se bharey is nagar mein
Kya kya chin liya jata hai
Ladkhadaye qadam to dekha hai
——-

-


23 APR AT 23:16

Manazir raqs kartey hain un shokh lamhon ke
Jab chand ki katori mein khawab chamktey they

مناظررقص کرتےہیں اُن شوخ لمحوں کے

جب چاند کی کٹوری میں خواب چمکتے تھے

-


Fetching Yasmin Ansari Quotes