Jissm churāte hue pehlu meñ samāyā na karo,
Wasl ki dhuup meñ jalne do saayā na karo.
ye aur baat ki dil meñ koi aur baat hai magar,
Har baat har kise ko iss dil ki Bataya na karo.
Jalte hai kai charagar bhuj bhuj kar teri ulfat mai,
Jab tak na jaljaye parwana khud ko bujhāyā na karo.
Yeh parinde khud he na jala aaye apna shajar ,
Aise Nafrat ki hawa jangal mai chalayaā na karo,
Purane zakhmo par tera phokna aur hawa dena,
Yun dushmano ki tarah dostī nibhāyā Na karo
baad mulaqat bahut sambhalne mai waqt lagta hai,
Jane ke liyeh aaya na karo,ajao thu fir jayā na karo.
chhupā chhupā ke jo rakha tha chahat ka saman.
Wasim Aise doulat ko sb par luTāyā na karo
-