Varnit Sharma   (Banjaara)
601 Followers · 802 Following

read more
Joined 13 January 2018


read more
Joined 13 January 2018
9 JUL 2021 AT 22:08

Yeh kavita nahi duniya ki hai Sachai..
Tuk nahi shabdhon ki hai yeh kahani!!!

Chala tha ek Azzad Panchi duniya badalne mein...
Udte udte phasa ek jal mein esa ki ek par phasa tha duniya ke dhakosle mein..
Ek par phasa tha netikta ke bawandar mein...

Bahut jad-do-jehat se nikal toh gaya uss jal se lekin ghar pahucha kuch piche chodhke..

Har roz tha phasta iss jal mein aur piche chodhta kuch hissa khudka, duniya toh kya hi badalta azzadi ke khayal bhi bhawar mein!!!

-


5 JUL 2021 AT 14:13

Positive thoughts and life changing opportunities!
It depends on you how you embrace this aura!

-


5 JUL 2021 AT 12:17

Suvidhaye toh insan ne banayi thi bhavishya majboot karne ko,
Pata nahi kese insan khokla hogaya...

-


4 JUL 2021 AT 12:19

Meri kalam kalpanik duniya nahi banati..
Meri kalam asli duniya ko ek ankahe pehlu se hai dikhlati...

Toh darna nahi, na ghabrana meri kalam dehshat nahi phelati..
Yeh Kamzoron ka haath pakad ke chalna hai sikhlati...

-


3 JUL 2021 AT 13:52

Kisike liye baste ka bojh zyada hai
.
Kisike liye zimedariyon ka bojh zyada hai
.
Lekin uss khilone beechne vale khilone jese bache ko kya pata ki uska bojh sabse zyada hai...

-


2 JUL 2021 AT 15:54

Zindagi jeene ke 2 tareeke hai yaaron
.
Ya toh dusron ko khush karne ke tareeke dundho aur khud ki khushi tyaag do
.
Ya khud ko khush karo aur dusro ki chinta tyaag do

-


1 JUL 2021 AT 21:37

Ab toh Girgit bhi darta hai Insan se,
Kahi uski visheshta insan aam na karde...

-


25 FEB 2021 AT 21:31

Zindagi toh lagbhag berang sabki,
Zarurat hai toh bus rangon ki!!

-


3 SEP 2020 AT 18:26

Kisi ki muskurahat ke liye paseena mat baho yaaro..
Kisi ki muskurahat ke liye paseena mat baho yaaro....
Kya pata woh muskurahat kisi ke aasuo ki kimat pe ho!

-


6 DEC 2019 AT 19:26

Kya khoj raha hai tuh kitaabon mein aur aanjaanon ke afsaanon mein...
Teri toh zindagi hi teri misal hai !!

-


Fetching Varnit Sharma Quotes