UROOJ FARAZ   (UROOJ FARAZ)
1.1k Followers · 18 Following

read more
Joined 16 April 2020


read more
Joined 16 April 2020
2 SEP 2021 AT 10:13

" FAKEER "

Mein lakeer hu , Zaheer hu
Mein Malang hu , Sameer hu

Mujhe koi bhala kya kahe ?
Mein apne aks ka Zameer hu

Mujhe koi marham, sada na de
Mein is jaha.n ka Zabeer hu

Meri hasrato.n ko shama na de
Mein apni nafs ka Wazeer hu

Mujhe or koii wajah naa de
Mein sabr ka Ek Gadeer hu

Mujhe koi kuch zara naa de
Mein apne Rab ka Fakeer hu

-


10 JUL 2021 AT 9:24

Koi nigaaho.n se larazta hai
Koi aansuo.n se barasta hai
Koi aarzoo se talabgaar hai
Koi khwaabo.n me tarasta hai
Koi dhoondne me laga hai tujhe
Koi tanhaayi me sisakta hai

" YA RAB "

Teri Taa'bedaari ka maajra Nazar aaya !
Tu kab kisi Aashiq ko Intehaa Nazar aaya
Jisne jitna chaha , Tu use Utna Nazar aaya

-


24 JUN 2021 AT 13:09

اَلِفْ

Ek Talaash hai mujhe khud ki
Har Aayine me dhoondta hu.n khud ko
Yu.n to aankho.n me bhi rehta hai Koi
magar Nazar nahi aata Koi ..

Fakat Aayino.n me jhaakne se ,
tujhe kya maloom hoga Faraz !
Jiski rah-e-talab hai, Wo nazro.n ki nahi
Dilo.n ki Rehnumayi karta hai ..

-


21 JUN 2021 AT 18:12

Zindagi faani hai, firaak hai, gunaaho.n se mamool hai
Is qalb-e-gumrah ko manzil ka pata kaha.n maloom hai

Fehrist-e-jurm ki bepanah vehshat hai mere dil me
Tujhse Abr-e-Rehmat ki talab me taalib-e-Deedar hu.n

Khud ki talaash me hu, Na koi saani hai, Na ghum-e-nishaani hai
Khaak me mil raha hu.n, fakat khaak se khaak ho raha hu.n mein

-


20 JUN 2021 AT 18:43

To my beloved ( Murshid ) -

In Laraztii , Afsurda Nigaaho.n se

Aakhir kab tak Door rahenge Wo !

Do-chaar ashqo.n ke raqs karne se

Mehboob ke jaanib khiche aayenge

Maana dil naashaad hai, nagawar hai

magar aaj bhi ye muntazir hai Unka

Kuch sawaal hain jo sone nahi dete

Kuch jawaab neend ke jaanib le jayenge

-


20 JUN 2021 AT 9:31

Khud ko aayine me talasha bahot mene
Dhua-Dhua chehre se hataya bahot mene

Na kisi pur-asraar ke jaanib mein hua ! !
Na koi vaasokht ki takhti mujhe vaajib huii

Mein tanha raha magar tanha naa raha
Mere sath mustaqil raha to sirf mera KHUDA

Mujhe farz hai , Zikr uska zehen me aaye
Mujhe aayina jo dikha vaaste uske zara-zara

-


17 JUN 2021 AT 10:31

Adab se hum apne tasavvur ka ehtraam karte hain
Chashm-e-purnam ko raqs ke manind salam karte hain

Dariya hain hum , kis simt me jaana hai nahi maloom
Fakat Samundar se milne ke baad qayaam karte hain !

-


15 JUN 2021 AT 20:08

Wo Andheri raat or tanhaayi ki
aagosh me saans lena
Wo khilte, mehekte phool
jo raat ke muntazir hote hain
Wo jugnuo.n ki chamak
jo dil ki dhadkano.n ko bada deti hai
Wo havao.n ka kareeb se guzar kar
tarah-tarah ke sawal karna
Wo taaro.n ka jagmagana , jhilmilana
or door se hi muskurana
Wo aasma.n ko dekh kar
KHUDA ki Azmat ko
samjhne ki koshish karna
Be-panah khubsoorat ehsaas hota hai
jab har ek lamhe ko mehsoos kiya jaaye

WO JALWE , WO AZMAT , WO BADAAI TERI
OR KYA KAHU.N DIL KE JAZBAAT KYA KYA !!

JAHAN MUJH KO AAYA KHAYAL TERA ( ALLAH )
SAJDE ME SIR KO RAKH KAR HUI BAAT KYA KYA !!

-


15 JUN 2021 AT 18:52

Jis tarah se shama pe marta hai pervaana
Fakat us kaifiyat se hai mujhe guzar jaana

Fanah hona laazim hai baqa ke liye ..
Kuch kar intehayi ke Murshid khud kahe..

Deewana hai ye , Be-panah Deewana !!

Har dard-e-nihaii ko zabt kar le is kadar !
Bhool ja kufr-e-zaat ko or tamaam zamana

-


13 JUN 2021 AT 19:30

Khalk se ta-umr raahat ki koshish me
mujhe kya nazar aaya
Jab kuch nazar nahi aaya to ae KHUDA
fakat Tera dar nazar aaya

Bhatak chuka tha zamana-e-jahalat ki
bad-gumaniyo.n me be-inteha
Herat hai Bhala, mujh bad-kaar me
Aakhir Tujhe kya nazar aaya

Tu Raheem hai, Al-ghafur hai,
Sattar Maao.n se zyada chahne wala hai
Yahi wajah hai, mujh khatakaar ko
raah dikhane me tera Zabar nazar aaya

-


Fetching UROOJ FARAZ Quotes