#Mushkil hoti hai
kabhi kabhi wo baat
Jise kahne ki koshish hoti hai
Use kahne me
Mushkil hoti hai
Us baat baat ko bata pana
Jisko kahne k liye jazbat hote hai
Par alfaaz nhi hote hain tab
MUSHKIL HOTI HAI
Yakeen nhi hota hai is baat par
Ki is duniya se hun mai
Par yaqeen hai is baat ka ki
galat nahi hun mai, bas alag hun
isliye shayad mujhe
MUSHKIL HOTI HAI
Logon ke kayi sawal hai mujh se
Par mera sawal khud se hai
Ki nahi samjh paaye hum
nahi jaan paaye.. kya zaruri hai jaan lena?
Or jaan kar samajh jana! kyu ki mujhe
MUSHKIL HOTI HAI
-