Mere andar zaroor kuch dafan hua hoga
Raaton ka andhera aur sannata , ab chaahat bangayi hai
Mere lafzu ko zaroor sabnai ansuna kiya hoga
Apna sab kuch khudse kehna , ab aadat bangayi hai
Mere gham mai kabhi toh koi na aaya hoga
Dard mai bhi haste rehna , ab aarzu bangayi hai
Meri khamoshi ko sabnai mera mizaj samjha hoga
Sun ke bhi kuch na kehna , ab zindagi bangayi hai
Mere andar zaroor kuch toot ke bikhra hoga
Alfaazu ka ghayal bahar aana , ab pehchaan banagayi hai
-