Soyal Farooqui   (Soyal farooqui)
2.4k Followers · 46 Following

read more
Joined 1 November 2018


read more
Joined 1 November 2018
17 AUG 2020 AT 21:19

Ab to bhul jaaunga na Mai use
Dekho Maine ab likhna bhi chhod diya

-


23 SEP 2021 AT 22:19

Hami se sikh kar mohabbat
Hami ko chhod gaye tanha

-


19 MAY 2021 AT 11:09

Hame ho gayi thi koi khush-fahmi jaaana
Ham bane hi nahi Mohabbat ki liye

-


6 MAR 2021 AT 17:37

Umar kam ho , or baal safed ho jaye
Aisi jawani ke dukh samajhte ho

Kirdar mar jaaye , or kahani chalte rahe
Aisi kahani ke dukh samajhte ho

Dil na chahe , or aankhe baras jaaye
Aise pani ke dukh samajhte ho

Lab khamosh rahe , chehra baya kare
Aisi jubani ke dukh samajhte ho

Rooh chikhti rahe , aahe bharti rahe
Ishq-e-ruhani ke dukh samajhte ho

Jakhm lagte rahe , dawa karte rahe
Aisi meharbani ke dukh samajhte ho

Soyal farooqui

-


12 OCT 2020 AT 8:00

Faqat us chehre ne salb kar li
hamari aankho ki binayi

Wo ek chehra jo hame chaand me
nazar aaya karta tha

-


8 JUL 2020 AT 11:51

Fareb kha kar tajurba kar rahe hai
Is tarah ham jakhmo ko bhar rahe hai

Jiska tasawwur bhi nahi apko
Ham aise halato se gujar rahe hai

Wo log jo the kabhi jaan se payare
Haaye wo log ab dil se utar rahe hai

Uski Ek hansi ne diye hajaro dukh
Ham to ab har khushi se dar rahe hai

Ishq to waise hi badnam hai soyal
Log to ab jismo par mar rahe hai

-


1 JUL 2020 AT 16:05

Jaisa aamaal karonge duniya me , waisa hi uska badal hai
Dil todkar tum bhul baithe , ye duniya maqa-faate amal hai

-


29 JUN 2020 AT 14:54

Ab uske kun faya kun par mujhko itna yakeen honga
Wo ata karenga wahi jo mere liye behatreen honga

-


26 JUN 2020 AT 12:30

Dil-o-jaan jis par tha waara tumne
Kitni aasani se us ko haara tumne

Kyu hone lagi tum ko usi se nafrat
Laqab diya tha jise pyaara tumne

Chod kar majhdhar me tanha hamko
Kar liya khud hi kinaara tumne

Faqat ek cigarette hi to thi hamari
Chhin liya wo bhi sahaara tumne

Tumhe to neend bahut pyari hai
Hijr kya so kar gujaara tumne

Tumhara zurm bhala kaise nazar aaye
Ek shakhs ki rooh ko maara tumne

Khud ko kaise maaf kar paonge soyal
Gar ab bhi nahi khud ko sawaara tumne

-


18 JUN 2020 AT 13:03

Mai saare zulm sahta hu , chup rahta hu
Sab sah kar na kuch kahta hu , chup rahta hu
Dil se sunonge tu mujhme shor hai intaha ka
Mai Khamosh dariya sa bahta hu , chup rahta hu

-


Fetching Soyal Farooqui Quotes