Kabhi kabhi lagta hai ki bachpan he thik tha,
Daant tuthte the magar dil nahi....
Kitni ajeeb dastaan hai is zindagi ka bhi,
Yaha duriyaan sikhati hai zindagi k mayine....
Badal jaaten hai wo log bhi waqt ki tarah,
Jin logon ko had se zyada waqt de diya jaye....
Jhukne se rishta gehra ho to jhuk jaana,
Magar har dafaa tumhe he jhukna padhe to rukh jaana....
Taqlif to hazar hai is duniya mein,
Jab koi apna nazar andaz kare to saha nahi jaata....
Kehte hai jo pa liya to wo mohabbat he kya,
To, jo sulagta rahe wahi ishq hai kya?
Wahi insaan he sirf tumhari parwah karta hai,
Jo tumhari khamoshi ko samajh sakta hai....
Zindagi mein aawaaz dene waale hazaron mil jayenge,
Magar humesha wahi baithna ,
Jiske paas baithkar,
Apnepan ka ehsaas ho....
-