Shuvra Saha Β 
24 Followers Β· 18 Following

Joined 29 November 2019


Joined 29 November 2019
17 APR AT 20:11

Hoth muskurate hein magar akhen udas si lagti hein, Na jaane kitne gehre raz dafn hein unn ankhon mein

-


13 APR AT 22:49

Zindagi
Zindagi ek haseen safar hein kisike liye,
Toh koi katoon ki raho pe chal raha hein,
Rehmat khuda ki jaan kar gaale lagata her ek taqleef ko koi yahan
Or koi khuda se siqwe mein aapni puri zindagi guzar deta hein
Kandhe pe bojh liye zindagi ki phirta hein her ek shaks yahan
Magar akhir mein ekdin bojh aapna dusro k kandhe pe dale her koi apni akhri manzil ko nikal jaata hein

-


16 MAR AT 20:36

Aksar log puchte hein humse kaise reh lete ho iss quadar tanha akela tum?
Muskura kar kehte hein hum unse
Sikha deti hein zindagi her ek hunar
sahi waqt aane par

-


6 OCT 2023 AT 20:48

Malal nehi hai hume akhir mai tanha reh jaane ki, waise bhi yahan humara tha hi kon?

-


12 SEP 2023 AT 22:42

Siraat tumhari bedaag hai magar surat se tum haseen nehi, dill toh khubsurat hai magar ankhen tumhari nashili nehi, Bachpan se sikha tha sawarna hai Kirdaar ko aapne magar malum huya baad mai suraat k samne siraat ki koi ehemiyaat hi nehi

-


1 APR 2023 AT 19:36

Alfaaz humare beshak na bol sake k kitne azeez hai aap humare magar harkaate humari kar dengi bayan k kitne khas hai aap humare liye..

-


18 MAR 2023 AT 22:53

Talash raha hai shan-o-saukat zindagi mai koi,
Toh kisi ko daulat ki talash hai
Karta hai gunha koi sukoon ki talash mai,
Khud pe azaab dha raha hai koi sipha k aas mai.
Hazaro nigahon mai baskar bhi tahna rehta hai koi,
Toh koi umar bhar safar mai rehta hai bus uss ek nazar ki talash mai

-


2 MAR 2023 AT 22:28

Rehti hai talash hume haseen sirat (nature) ki magar talash hum uski aksar haseen suraat mai hi karte hai.
Talash te hai ek sachha dost hum zindagi k iss safar mai, magar dosti hum aksar zaroraat se hi karte hai
Wo dost hi kya jo raks (jealous feel) kare aapne yaar se, sachhi dosti toh wo hai jisse dekh khuda bhi uss dosti se raks kare..

-


11 FEB 2023 AT 23:03

Dastaan humari bhi tehreer banne lage gi, sifa jaab hum aapne marz-e-dill ka talashte lenge..

-


16 DEC 2022 AT 22:22

Darte nehi hum khamoshiyoon se,
Hum e toh uss shor se daar lagta hai jo hume hazaro k bhir mai bhi tanha kar deeti hai.
Darte nehi hum akelepan se,
Daar lagta hai hume aapno k uss mehephil se jaha aapno k beech mai bhi khud ko hum akkeela paate hai.
Or daar nehi lagta hume dushman o se ghire rehne se,
Hume toh unn dosto se daar lagta hai jo waqt k sath badal jaate hai

-


Fetching Shuvra Saha Quotes