Papa kabhi kabhi Maa ban jate hain...
hota hai na kabhi jab log apako sataate hain...tab mere papa maa banjate hain,
rakh kar god me sar mera, sehlaake mujhe samjhate hain, han papa tb maa banjate hain.
khana khaya? neend poori hui? tabiyat theek hai? phone kyu ni uthati ho...ye sawaal jab vo poochne lag jate hain..mere papa han tb Maa banjate hain,
Maa k na hone ka khayal jab bhi ata hai mujhe, aksar khud ke aansu poch mera Mood acha kr jate hain...Papa tb Maa banjate hain, Aakho me meri aansu dekh jo ekdum se tadap jate hain , han mere papa tab maa banjate hain..
Akele hain vo khud, par mere sar ki Chaav banjate hain, Papa tab Maa Banjate hain❤️
-