Waqt ne dil se kaha, e dil,
kyon yeh sikwein, yeh shikaayatein?
kyun nam hai aankh?
Tu thoda sa toh sabr rakh
Dil ne jawab diya ke: e waqt,
sabr ko kya rakhna?
Wah to sadiyon se khud hi mera saath deta aa raha hai.
Is dil ki ek kone me, ummeed ka diya jalata jaa raha hai
Aap laut ayenge, ieska dilasa deta jaa raha hai
Yeh sabr ko kya samjhayein hum
Ke waqt hi to gaya tham
E waqt
Chala to tu gaya baar baar
har baar
Hamara saath chor kar
Is dil ko tod kar...
Phir kyon keheta hai tu
Ke rakh thoda sa sabr?
-