Palkon k saaye kahi ja kar,
Yeh raat agar ruk jaaye,
Tum bhool kar saare dar apne,
Sang sapno k udna chahoge kya?
Bediyaan bhi beyasar lagne lagegi,
Viswaas ka dhaaga baandh kar,
Tum aankhein apni moond kar,
Khwaab dekhna chahoge kya?
Bhaagdaur ya thoda sa sukoon,
Kiski talash tum karte ho,
Aur kiski talash zaruri hain,
Ye fark samajhna chahoge kya?
Hawayein tez hain dekho zara,
Kahi jaake kastiyaan takra jaaye,
Aur lautne ke raste bikhar jaaye,
Tum aisi safar pe jana chahoge kya?
-