Dariya ab teri khair nahi, Bundo ne bagaawat kardi hai. Aur nadaan na samajh buzdil inko, Lehron ne bagaawat kardi hai. Hum parwane hai maut sama, Marne ka kisko khauf yahan. Re talwar tujhe ab jhukna hoga, Gardan ne bagaawat kardi hai...
Jab pukarna ho toh mera naam bhul jata hai, Usse ishq toh ata hai lekin karna bhul jata hai, Usse kahe ke muskura ke na dekhe mujhe, Yeh dil pagal hai dhadakna bhul jata hai...!!
Apne aap ke bhi peeche khada hun mai, Zindagi kitna dheere chala hun mai, Mujhe jagane aur bhi haseen hoke ate the, Un khwabon ko sach samajh kar soya raha hun mai..!!
Usko maine rota dekha, khuda maine ye kya dekha, Ashqon ki wajah main tha maine khud ko gunahgar dekha, Bebas ankhein dekh bheeg gai, zindagi ne ye kya kya dekha, Kam martaba hua ye silsila, maine khud ko jo lachar dekha, Zaar zaar bilak uthi rooh jab, na lautne ka wada dekha...!!