Rolfy R Dsilva   (rolfy)
14 Followers · 14 Following

human
Joined 26 April 2019


human
Joined 26 April 2019
21 MAR AT 8:30

Zindigi ka har haseen pal,
Tere sang bitaana hai,
Suno holi aa rahi hai,
Tumhe rang lagaana hai,
Rang to bas bahana hai,
Maqsad to tumhe chu paana hai,
Thaam lena hath mera,
Mujhe tumhe apnana hai,
Paheli ho azeem koi tum,
Tumhe suljhana hai,
Aansu hai jo palkho par teri,
Use baha mat Dena,
Wo aansu Mera khazana hai,
Kabhi jab socho mere baare me,
To yaad rakhna ke yeh Banda,
Tera deewana hai,
Miloge tum Aaj mujhse,
Mausam suhana hai.

-


7 MAR AT 21:51

Mujhe khud se ulajhne de
Barf hu me
Pighalne de
Ladkhadayi hu
Sambhalne de
Hu qaid khud hi me
Khudhi se mujhko
Nikalne de
Bahut sambhli hu fisal kar me
Fir ek baar fisalne de
Bahut hi jyada suljhi hu
Ab thodi der aur ulajhne de
Bhujh gayi hu khudhi me
Mujhe ab aur sulaghne de
Khud ko bhool si gayi hu me
Mujhe khudko samajhne de

-


20 FEB AT 14:16

Teri aankhon se hai jo chhalakta,
Haan me wo hi paani hu,
Tum manoge nahi lekin,
Me tumhari hi Kahani hu,

Kal iss budhaape ka haath chhoda tha tumne,
Aaj me wahi teri jawani hu,

Maut ko taras mat jaana meri
Teri zindgaani hu,
Begaana hai tu mera,
To me teri begaani hu,

Mere zehem ka agar tu sach hai,
Toh me teri kahani hu,
Mujhe suna hoga tune kisi aur se,
Me teri zubaani hu

-


29 DEC 2023 AT 19:27

Khuddar hu
Khud hi hu
Na maa ka saaya
Naa baap ka aashirwaad
Chunautiyon ke zindagi ki
Me lalkaar hu
Har kirdaar aye zindagi teri
Nibha sakta hu me
Aye zindagi me kalakaar hu.

-


24 DEC 2023 AT 16:22

Ek naye dard se mulaqat huyi hai
Jo ankahi se thi wahi Baat huyi hai

Tha uljha apne hi gham me
Fir pata chala ke tere sheher me bhi raat hui hai
.
Ek jaisa dard tha jo apas me baant na sake
Hum dono ke darmiyan najaane kyun yeh halaat hui hai

Bahut umeed thi ke iss andhere raat ke baad subha hogi
Neend se jaagke jab khola dwar ghar ka
Dekha ke raat ke baad subha nahi
Firse raat hui hai

-


28 NOV 2023 AT 19:41

Humse yeh shayad dikha nahi gaya
Falsafa shayad zindagi ka humse sikha nahi gaya
Bahut mehnga hai zameer humara
Tumhare bazaar me mera zameer
Bika nahi gaya

Jis aaine me hum dekhte hai khudko
Uss hi aaine me tumhara chehra dikha nahi gaya
Tum pret ho, insaan ho ya ho khuda?
Jo bhi ho tum tumse sach likha nahi gaya

-


23 SEP 2023 AT 21:54

Tinke ko doobte ka sahara milgaya
Aakhir malhaar ko kinaara mil gaya
Besahara ghoom raha tha tinka dariya me
Fir achanak usko doobta sahara mil gaya

-


23 AUG 2023 AT 19:01

Jo chalta hai wohi girta hai
Magar haa aage bhi wohi badhta hai
Pehli koshish kaamyab na huyi
Laakhon ne maare taane
Ab dekho wohi hai log
Jo lage taali bajane

Jo haar Maan li hoti pichli baar
Iss baar yeh manzar nahi dekh paate
Jo na swikaara hota haar ko apne
To haar se jeetne ka tareeka nahi seekh paate

Jo mukaam haasil kiya hai aaj mere desh ne
Uske peeche ke mehnat ko kabhi na bisro
Yaad rakhna naam unka hai
ISRO.

-


8 JUN 2023 AT 13:02

Bhai sahab thoda karo adjust
Seat ke liye hai har koi bebas
Nahi milne par nahi hota lekin koi tas se mas
Phudil station Chattrapati Shivaji Maharaj Terminus
Agla station Chattarapati Shivaji Maharaj Terminus
Next station Chattarapati Shivaji Maharaj Terminus.

-


30 MAY 2023 AT 20:20

Muskuraane ka haq humne khoya nahi
Humse cheena gaya hai

Jo mehnat ki thi tumse mohabbat karne me
Aankho se mere aansu nahi paseena baha hai

Yakeen nahi karta tha koi cheenkho par mere
Zamaane ko zakhm apne dikhana pada hai

Lagta tha ke ek hum hi deewane hai tere
Haqeeqat me to mohabbat me tere zamaana pada hai

Hasi mere hoton par mera nahi hai
Duniya bhar ke aansuon se isko churana pada hai.

-


Fetching Rolfy R Dsilva Quotes