Baat karne ko baat nahi bachi, uski tasveere dekh k din gujar leta hu main, magar kabhi usse kah nhi pata hu main. Usse samjane ki kosis main khud ko samja deta hu main. Main uski baate bhi khud se kar leta hu main. Log sochte honge ki itna pyar kaise kar leta hu main. Ek wahi nahi jaan saki ki kitna pyar karta hu main. Main kya kahunga woh kya sochegi, wo kya kahegi, kahegi ki bhi nhi? Yehi soch k baat nhi kar pata hu main. Bhala apne aap ko khuss kon nhi dekhna chahta, mujhe toh dar lagta hai kahi khussi ko nazar na lag jaye. Baate yuhi adhuri si rah jati hai, mujhe wo andar hi andar kha jati hai. Sach pucho toh baat karni hai magar phir ek bar dill tootne se dar lagta hai, ab aur sambalne ki himat nhi hai ,iss dill ko bar bar tootne ki aadat nahi hai.
-