R Aulakh ย  (Rashim Aulakh)
143 Followers ยท 47 Following

read more
Joined 4 May 2017


read more
Joined 4 May 2017
10 JUN 2021 AT 20:46

Fer oh sama yaad aa janda hai
Jihde karke ajj vi mann dard bhara hauka maar ke, dil nu oh peerh yaad kara janda hai.

-


10 JUN 2021 AT 20:22

Ek alag hi nasha hai;
Na bichadne ka gham hai,
Na milne ki koi wajah hai.

-


10 JUN 2021 AT 20:18

To know if I may have a reason to smile or just smile to hide my pain.

-


10 NOV 2020 AT 21:02

Getting Soan Papdi Dabbas on Diwali are equivalent to getting Coal on Christmas!!
๐Ÿ˜๐Ÿ˜œ๐Ÿ‘ป

-


1 OCT 2020 AT 20:01

Kehte hain yeh hai Ram Rajya
Sita thi jiska hissa rahi;
Zulm ho raha hai ab wahan,
Sita jaisi betiyon ki iss kalyug mein koi kadar nahi;
Cheekhein goonj rahi hain jahan
Mandir bann raha hai wahin.

-


19 JUN 2020 AT 14:39

Zindagi ki tez raftaar ne,
Shehron ki chakachaundh ne,
Sukoon ka jaise astitva hi mita diya hai.

Woh pehli barsaat aur mitti ki khushboo hum bhula chuke hain,
Paison ki baarish se ab zyada lagaav hai.

Jab batlate the saath baith kar gharwalon se Dil ka haal,
Woh pal bhula chuke hain;
2 pal ke dikhave ki ab humein bevajah aadat hai.

Dukh-dard baant te pehle bejhijhak
Do aansu bahana galat nahi lagta tha,
Ab itna dard hai seene mein
Par lafzon mein bayaan karna hum bhula chuke hain.

Ab bhi waqt hai badalne ka
Phir se bebaak hansne ka, muskurane ka,
Kaifiyat poochne ka, ghamon ko baantne ka, khushi ka izhaar karne ka

Kuch tum keh lo, kuch hum kahenge,
Dukh-sukh ke saathi phir banenge
Sukoon ke chaar palon ko hazaar baar jee lenge
Daulat ke mohtaj nahi
Insaniyat ki misaal banenge.

-


14 JUN 2020 AT 16:38



Shocked. Speechless. Shaken.

A fine actor, son, brother, friend, colleague....gone too soon ๐Ÿ’”

(Continued in caption)


-


13 JUN 2020 AT 20:22

Dard ki dhun kuch aisi chhidi hai
Dil ke taar toot kar bikharte se lag rahe hain

-


13 JUN 2020 AT 18:40

'Gar jo mila hai zindagi se, usmein khushi dhoond lete
Toh shayad aaj usse paane ki deewangi na hoti

-


25 MAY 2020 AT 21:26

Ghumshuda raaston par nikal pade hain yun,
jaise manzil ki parwah hi nahi.

Dil kehta hai ke bas ek baar phir dekh lun unn galiyon ko jinhe chhod aaya hun peeche apne,
Kuch paa lene ki chahat mein, khud ko hi na bhula dun kahin.

Andekha sa hai yeh raasta,
Anjaani si manzil hai,
Par shayad inhi anjaan raaston pe likha, mera haseen muqaddar hai.

-


Fetching R Aulakh Quotes