Bahut koshish ki
Sas ko maa ka darja dekh
Magar voh saas hain saas hi rahengi maa toh kabhi ban nahin sakti.
Dikhta hai dard unko unke bete ka mera jala hua haat nahin dikhta
Chahe khub banalun pakwan unke pasand ki
Magar kaun kehta hai janab ki bina nuks nikale khalen voh ek maa ki tarah.
Bahut yaad ati ho tum maa
Sasural kabhi apna nahin hota aaj jana hai mein ne.
Subah sham bina unko takleef diye kaam karte raho ek din jo thak ke mein der se uthun
Toh mach jata hai mahabharat ghar mein.
Kash kabhi mein shadi na karti
Ghar ki jo ladli thi, mein ladli hi rehti.
Ab ankhon se ansun nahin nikalte, naseeb pe afsoos nahin hota bas yaad ati hai toh voh ghar ki jiske lautne ka koi rasta nazar nahin ata😞
-