aksar yaad aati hai uski baatein,
jab hoti thi usse mulakaate...
uski baat hi niraali thi ,
kuki wo bholi-bhali thi ,
wo baato hi baato me roz ijhar karti thi apne pyaar ka ,
kuki use intezaar tha mere pyar ka ,
usko chhoti-chhoti baato me muskurana aata tha ,
jo mere dil ko bhata tha ,
aksar yaad aati hai uski baatein,
jab hoti thi usse mulakaate
aksar yaad aati hai uski baatein,
jab hoti thi usse mulakaate...
log aksar kahte the ki uski baate kitni achi thi,
kuki muje pta tha ki uski baate kitni sachi thi,
use pyaar ki baato me pad jana nhi aata tha,
kuki usko kewal baate krna aata tha,
mai usse har baat ke liye ladta rahta tha,
kuki wo jaanti thi ki mai usse pyaar karta tha
wo zindagi se pyaar karti hai ye baat wo sabse kahti firti thi,
Kuki use zindagi jeene ki lalak rahti thi,
aksar yaad aati hai uski baatein,
jab hoti thi usse mulakaate..
-