moaayed farooq   (Moaayed)
25 Followers · 7 Following

read more
Joined 27 April 2018


read more
Joined 27 April 2018
7 APR 2020 AT 3:36

Alam-e-gham Mai, haath jisnai thama mera,
Musibaton ke ghar Mai, awaz jo Bani meri,
Woh behan meri Jaan hai,
Woh behan meri hai pari.
Uss ke liye Jannat Zameen pe laonga, uske liye asman tak Mai jaonga,
Kya howa jo hum ek maa ki aulaad nahi?
Woh mere liye mere sagon se bhi hai sagi.
Rishte Bante hai kuch bunyaadon par, humare rishte ki buniyaad woh bani,
Meri duniya toh poori sukhi padh gayi thi,
Barsat banke aayi, Neha di meri.
Janam din Mubarak, muskurate Raho Sada,
Khuda Umar bhar de khushian aapko, bas yehi dua hai meri.

-


8 JAN 2020 AT 8:00

Logon ne ghazal ko sitam wa gham se bhar Diya,
Shayaron ne sher-un ko dard hi dard Diya,
Yeh sabh shuru kiye toh the tafreeh ke naam par,
Leken ishq woh Bala hai Jisnai iss tafreeh ko bhi tafreeq bana Diya.

-


1 JAN 2020 AT 3:19

Ek din ankhon Mai ankhe jo mili,
Ajnabi se hum seedha yaar ho baithe,
Iss yaar se pyaar hogaya magar,
Dil Ka Kya Dil se pareshan ho baithe.
Leken umeede abhi bhi hare nahi the,
Bas ek galti kardi, hum izhaar Kar baithe.
Woh bhi yaar kehti thi leken pyaar sunke hum uske dushwaar ho baihte.
Ki galti Meri thi tyaar nahi tha Mai,
Khudpe ilzaam laga ke unko araam dilaye baithe.
Yeh sukhan-e-mohabbat humare naseeb Mai waise bhi hai Kahan,
Hum toh wohi hai Jo har baar yehi galti dohraaye baithe.

-


26 NOV 2019 AT 9:37

Yeh hum shayaron ko Kya sarr pe chada rakha hai?
Hum toh qalm bas hilana jante hai.
Mohabbat nahi karte hum tumse kuch alag,
Hum bas uss mohabbat ko alfazon Mai bayan karna jante hai.

-


5 NOV 2019 AT 9:48

Talab thi ek andhar, abh woh bhi khatam ho rahi hai.
Yeh poora zamana hi zalim hai, aisi khalish ho rahi hai.
Ehd-e-wafa ka naam tak sunna nahi hai ider.
Yahan logon ko dilon se nahi, suraton se mohabbat ho rahi hai

-


5 NOV 2019 AT 8:30

Bewakoofi hai iss duniya Mai emaandar rehna e moaayed,
Yeh duniya hi aisi hai, ider bewafai ki qeemat hoti hai.

-


29 OCT 2019 AT 16:57

Arey Aaj aaye hai hum apne mehboob ke shehar Mai,
Mai bhi socho ki barish kyu ho rahi hai.

-


29 OCT 2019 AT 7:18

Mohabbat mohabbat karne walon,
Sabab khush Hali ka hi bano,.
Sunna hai iss zamane Mai,
Gila aashiqion ko hi statata hai.

-


28 OCT 2019 AT 23:07

Haan, zamana ek hadd Tak toh Sahi hai.
Akela Hoon Mai, yeh baat bhi Sahi hai,
Yaar, dost, ishq, sabh jhaali hai iss duniya Mai,
Marna bhi khudse hai, yeh baat bhi Sahi hai.

-


28 OCT 2019 AT 19:44

Bohat muddat se kuch likha nahi tha,
Ki abh aakhiri qalm bhi khafa hogaya.

-


Fetching moaayed farooq Quotes