Ajib hain meri bhi Zindagi,
Jinse door Jana chahti,
aksar unke hi pas aa jati...
Jinke liye koi ehsas nahi hota,
Wahi khas ho jata...
Kabhi kisi ki hone ki aarzo nahi ki,
Phir bhi kisi ki ho gyi,
Khud mein khoyi rehne wali main,
Usme Kahi kho gayi...
Waise toh raaton Ko sone ki aadat nahi thi meri,
Magar ab koi sula deta,
Duniya chahe kitna bhi rulaye,
Ab wo mujhe hasa deta...
Izhaar karna nahi aata,
Sayad kisi se pyaar karna v nahi aata,
Kisi ki ho toh gayi,
Magar mujhe uska ban kar rehna nahi aata...
Pehli Baar hain?
Haan ye pehli Baar hain,
Jab kisi ka u dhun swar hain,
Dil kisi ka hone ko bekarar hain...
Ajib uljhan hain,
Na Jane kon suljhayega,
Mujhse toh nahi ho payega,
Na Jane mere dil ki baat usko kon btayega...
Kya nam du es Rishtey ko,
Na Jane Dosti h ya pyaar,
Jo v ho Dil se nibhaungi,
Ye wada hain mere yaarтЭдя╕П!!
-