Malhar Vyas   (Malhar)
13 Followers 0 Following

Joined 27 May 2017


Joined 27 May 2017
18 JAN AT 1:03

Kaash kuch lamhe zindagi mein pencil se likhe hote, toh panne faadne ki jarurat nahi padti

Ye Darr bhi na hota ke kuch galat likh diya toh log kya kahenge, ek sukoon sa hota jab vo eraser jaisa dost saath hota jo har galti pe sab mita kar zindagi ka panna fir se naya kar deta

Behtar hota agar pencil se likhte har kirdaar ka naam, aur uski beimani pe mita ke usko kuch dard kam kar pate. Khushi ka nakaab nahi odhana padta humein, bina dare apna kal likh paate

Kaash kuch lamhe zindagi mein pencil se likhe hote, toh panne faadne ki jarurat nahi padti

-


6 AUG 2023 AT 10:16

Jise kuch kehne se pehle sochna na pade
Bina kuch soche jo saath chal pade
Aur koi nahi, vo dost hai...

Sab se lad ke jo saath de
Gir jao toh apna haath de
Aur koi nahi, vo dost hai...

Jo har khubi har kami janta ho
Fir bhi aapko apna yaar manta ho
Aur koi nahi, vo dost hai...

-


17 JUL 2023 AT 10:01

Kuch toh hua hai ise
kuch kehta nahi hai
soona aur sehma sa dikhta hai, mera ghar pareshaan sa dikhta hai

Soch mein dooba rehta hai aksar
band kamron mein chupa rehta hai
milta nahi hai jada kisi se
dara aur udaas sa dikhta hai, mera ghar pareshaan sa dikhta hai

Koshish toh karta hai ye khush rehne ki
fir bhi na jane kyun, mera ghar makaan sa dikhta hai
mera ghar pareshaan sa dikhta ha

-


13 JUL 2023 AT 21:32

MANN

mann ruk nahi raha kahin
daudta ja raha hai
kuch keh nahi pa raha kisi se
ghutta ja raha hai

maine pucha ke kya hua hai tujhe
kuch kehta nahi hai
rota ja raha hai

mann ruk nahi raha kahin
daudta ja raha hai

mera andaza hai ke shayad kuch kho gaya hai iska
kabhi bahar, kabhi ander dhundta ja raha hai

baat sunta nahi hai ye meri
apni marzi chala raha hai
bekar ki zidd pakde baitha hai
bekar hi ishq kiye ja raha hai

bachpana bohot hai is mein
rooth jata hai aksar
fir khud hi sab bhula kar
khud ko mana raha hai

mann ruk nahi raha kahin
daudta ja raha hai

-


9 DEC 2022 AT 5:41

Barbaad kardi zindagi meri,
Meri zindagi ne

-


8 DEC 2022 AT 2:08

Muddatein guzri ek lamhe mein
Vo lamha muddaton yaad rahega

-


30 NOV 2022 AT 1:43

Kis se karun shikayat teri,
Jab munsif tu khud bana baitha hai

-


16 OCT 2021 AT 3:46

Tum mere har jawab ke baad apna sawal badalti ho,
Tum kyun meri saza har bar badalti ho

-


15 OCT 2021 AT 21:43

Ladakpan se ladakpan tak ke safar mein
aasama chua humne, zamin pe rehke

kuch se nata tutt gaya
kuch ko sir pe bithaya humne, zamin pe rehke

khud ki zaruraton ko chod diya
khawahishon ko uski uthaya humne, zamin pe rehke

Ladakpan se ladakpan tak ke safar mein
aasama chua humne, zamin pe rehke

-


18 SEP 2021 AT 2:32

Koi baat nahi, gar koi baat nahi,
Khamosh rehna bhi andaaz-e-ishq bayan karta hai

-


Fetching Malhar Vyas Quotes