maahi khan   (Maahi)
87 Followers · 84 Following

Freelancer, Writer, Collab queen
Joined 19 October 2019


Freelancer, Writer, Collab queen
Joined 19 October 2019
29 JAN 2022 AT 4:15

Gehre raaz chupake baithe ho
Jaane kisse nazar churake baithe ho
Kamal lagte ho tum is intezaar me bhi
Jaane kahan se aisa dil le aate ho— % &

-


20 JAN 2022 AT 13:38

Mai aj kal andhere me rehta hun,
Jahan roshni ka saya bhi nahi padta hai
Mujhe khuda se milna hai,
Suna hai se-pahr me arsh wala khud aasman paar kar rooh se milne ajata hai

-


18 JAN 2022 AT 14:47

Kuch b paa lun zindagi me chahe wo shohrat ya ho maal
Nahi magar mukammal hogi gar na maa ho ya chahe baap

-


6 JAN 2022 AT 7:32

Sambhalta gaya hun mai kismat ki har ek mod par
Har mod toofani raha
par mera tarz-e-amal shaaz tar

-


13 NOV 2021 AT 19:30

Milega kya dilon mein nafratein rakh kar ?

Badi Mukhtasar si hai zindagi muskura ke mila karo

-


13 NOV 2021 AT 19:10

Milega kya dilon mein nafratein rakh kar ? Badi Mukhtasar si hai zindagi muskura ke mila karo

-


10 NOV 2021 AT 5:37

Tu kaun hai ye tu na jaane
Ye mai jaanu aur sirf mera khuda jaane
Tu kya hai mere liye aur kyun hai
Ye tu jaane na tera jee jaane

-


3 NOV 2021 AT 6:33

Savere se lekar raat tak har waqt tumhara tha beta
Ye kabhi tumne soncha hai kya ?
Waqt hi tho mil nahi paaya mujhe
kyunki tumhare alawa maine Rab se maanga hi kya tha

-


3 NOV 2021 AT 6:19

Yahan dekha tho aasman jhilmil
Wahan dekha tho taare jhilmil
Tera naam jhilmil aur tu meri jhilmil

-


3 NOV 2021 AT 6:16

Kyun na mai ye keh sakun ke mai khudko sambhal paungi
Dunya ka sonchungi tho khud ko na dhoond paungi

-


Fetching maahi khan Quotes