Resolution banayein, magar sirf ek saal ka nahi, saari zindagi ka.. Resolution banayein Allah ko raazi karne ka.. Resolution banayein Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ittaba' karne ka, aakhirat me kamiyabi ka, gunaaho'n se tauba ka, apni ghalati maan kar mu'afi maang lena ka, dusro'n ko unki ghaltiyo'n par mu'af kar dene ka, har haal me Allah ka shukr ada karne ka, Qur'an ko padh kar usey samajhne ka, uske mutaabiq apni zindagi guzaarne ka taaki humari aakhirat bahtareen ho...
Resolution zarur banayein, magar duniya ko nahi, aakhirat ko madd-e-nazar rakhte hue!
-