Pyaar toh pyaar hai hua toh hoga,
Becharagi mein bhi dil dharka toh hoga,
Uski ek jhalak paane ko aatur,
Uski khidki ko tumne bhi dekha to hoga,
Vohi wala purana na bheja hua khat,
Aaj bhi tumne padha toh hoga...
Ek kasak toh aaj bhi hogi
Kaash!!!! Is shabad se mulakaat toh huyi hogi!!!
-