Chandni .   (© A soul lover❤)
296 Followers · 305 Following

read more
Joined 21 June 2019


read more
Joined 21 June 2019
28 DEC 2021 AT 21:35

Ek baar aaj phir Zindagi ke safar ne kuch sikhya hai,
Ek baar aaj phir dil bhar aya hai,
Ek baar aaj kisi apne ne dil dukhaiya hai,
Ek baar aaj phir kisi apne ko gair bante dekha hai,
Ek baar aaj phir kisi apne ko dur jate hue dekh aur
uska dard mehsus kiya hai,
Ek baar aaj phir khud ko akela paya hai,
Ek baar aaj phir khud hi khud ke aanso poche hai,
Ek baar aaj phir khud ko akale hi sambhala hai,
Ek baar aaj phir dil lagane ki saza payi hai.
Ek baar aaj phir kisi ko haste haste duao ke saath bida kiya hai,
Ek baar aaj phir khud ko toot ke bikharne se roka hai,
Ek baar aaj phir se rote hue muskarna sikha hai,
Ek baar aaj phir se khud ko himmat dekar kadam badhana sikha hai,
Ek baar aaj phir khud ko hausla diya hai..
Ek baar aaj phir khud se prerna lekar,
khud ki himmat bankar Zindagi ki nayi shuruwat ki hai..

-


21 DEC 2021 AT 21:39

Usne pyaar manga humne beinteha diya,
Usne humse waqt manga humne vo bhi be hisab diya,
Usne humse khushi mangi humne apne hisse ki bhi usse de di,
Usne dillagi mangi humne khud ko uske havale saup diya,
Aur ab vo doorie /judai maang rahe hai,
Vo ane wale waqt se darta hai,
aur hum pagal usse khone se...
Hum to ye jaan bhi unpar nyochavar karde,
par kya uske baad vo phir hamare honge?

-


26 NOV 2021 AT 0:25

Vo kehta tha ke Zindagi me
har koi usse chod kar chala jata hai,
ussne kabhi kisi ka saath nahi chhoda.
Lo phir hona kya tha,
uski ye ichha humne puri kardi,
kyunki hume to uski khushi se matlab hai,
phir chahe vo uske saath ho,
ya usse juda hokar..

-


20 NOV 2021 AT 0:41

Uski parwah bhi be parwah jaisi thi,
Uski mohabbat bhi dikhave jaisi thi,
Uska astitav bhi na hone jaisa tha,
Uska milna bhi khone jaisa tha,
Uska saath bhi gairo jaisa tha,aur
Uska Zindagi me ana bhi marne jaisa tha..

-


15 NOV 2021 AT 11:24

I still have enough of love in me but
this time I need, I choose to be "loved first,
unconditionally".

-


25 OCT 2021 AT 19:44

Manzil ka pata nahi phir bhi
bas yuhi chale ja rahe hai,
Roshani nahi dur dur tak,
phir bhi himmat bandhe ja rahe hai,
Armano ko apne kandhe par rakh,
Har chattan datt kar paar kiye ja rahe hai,
Haarna asaan hoga phir bhi
jeet ki talash kiye jaa rahe hai,
Chodkar gairo ka saath,
Khud ka saath nibhaye ja rahe hai,
Badi si Zindagi ke chote chote safar
akale hi taye kiye jaa rahe hai,
Talash pata nahi kis cheez ki hai,
Bas yuhi musafir ban,
har pal har lamha kate jaa rahe hai..
Aur haa saath saath uss rabb ko bhi,
ha ha rozana na hi sahi par,
kabhi kabhi yaad to kiye hi ja rahe hai,
aur ye duniya me bhjene ke liye
unka shukriya kiye jaa rahe hai,
Dil se na hi sahi, ruhaniyat se hi sahi
unka shukriya bas kiye hi jaa rahe hai..

-


3 OCT 2021 AT 15:58

........

-


2 OCT 2021 AT 12:38

Haath thamna to chahte hai, par
darr sa lagta hai ki,
kahi bich mazdhar me,
hamara hath kisi ke haatho se fisal na jaye,
aur hum phir tanha na reh jaye..

-


5 SEP 2021 AT 4:17

us more real and
first hand experience.
In fact more than we
learn in classrooms..

Happy Teacher's day!

-


5 SEP 2021 AT 4:12

उन्हे हमें खोने का गम कभी था हि नही,
और हम पागल यही सोचते रहे की,
हमारे इस दुनिया से जाने के बाद उसका क्या होगा ??

-


Fetching Chandni . Quotes