Belal Quraishi   (levelup_shayar)
184 Followers · 72 Following

Joined 13 February 2018


Joined 13 February 2018
28 JAN AT 21:35

*Tum azadi se raho*

Ghar se door,
Hain hum bhi majboor..
Zindagi ke bhag doud me,
Iske gulam hai , isi ke hain majdoor..

Neend ko maar kar,
Bhooke pet bhaag kar..
Zimmedariyon ka liye basta,
Ummeed bhari nigahon se,
Dhund rahe apni manzil ka rasta..

Apne bhi kahen hain ab,
Tum azadi se raho..
Azadi hamari ye aisi hai,
Sainkdon bandishon se jakdi hain..

Thake hue hain,
Haare bhi..
Har mod pe tute hue hain,
Bikhre bhi...

-


5 FEB 2023 AT 16:03

Papa jaisa dikhna kitna asaan hai na??
Papa ka rang,
Papa ki height,
Papa ki naak,
Papa ki ankhen,
Papa ki awaz..

Par kaas Papa jaisa Banna bhi asaan hota..
Vo himmat,
Vo takat,
Vo sehne ki sakti..

Vo kam paison me sabko khush rakhna,
Khud fate kapde joote pehan kar sabko naye kapde dena..

Khud thak haar kar,
Sabke liye jeena..

Apne sapne maar kar,
Sabke sapne pure karna..

Pata hai .

Aj mai achche ohde par hun,
Aj kamata hun bahut achcha.
Par ghamand nahi kar sakta,
Kyu ki meri har kamai ki payi payi par,
Mehnat, sangharsh, qurbani mere papa ki hai..

Bas ek hi duwa hai..
Kaas 1% bhi papa jaisa mai ban paun .

-


26 NOV 2022 AT 23:06

Winter has set in..
Morning and night remains pretty cold .
And this winter,
Triggers my memory of days so old .

When I used to enjoy,
The chilling nature,
When I used to avoid,
Wearing of the sweater..

But now this cold,
Has different meaning..
May be I understand it better,
May be the experience made a brass feel like gold....

-


13 OCT 2022 AT 23:33

Zindagi ke padao pe,
In raston ke ghumao pe,
Sochta hun mai ,
Baith akela is rahon pe...

Kya bhala tha,
Kya bura tha,
Kitna sachcha mai,
Kitna jhoota tha..

Raat ke andhero me,
Dhundla sa yahan Chand bhi,
Ek kohra sa hai dil me,
Kuch dhundta mai aj bhi..

Ek dar sa hai,
Ek uljhan si hai.
Kya kamyaabi ki talash me,
Milegi sukoon ya bhatakta rahunga mai yun hi..

-


9 OCT 2022 AT 11:59

Ghar! Ghar! Ghar!
Na jane kab se ghar ki chaukhat ki ek jhalak bhi na mili...
Ab to bas tasveeron se hi un lamho ko jiya karte hain..

Par kambakht tasveer bhi to hai nhi,
Hum to bas yadon me apne ghar me raha karte hain..

Vo angan,
Vo kamre,
Vo Ghar ki chhat,
Vo raste, vo dukane ..

Ab to bhulne lage hain vo mohalle ke bachche,
Kal tak jo chocolate ke liye hamare peeche laga karte the..

-


18 SEP 2022 AT 23:17

Saath mayne nahi rakhta,
Kisi ki chahat mayne nahi rakhti..
Ek apna mukaam hai, apni ijjat hai.
Uske age to pyar mayne nahi rakhta...

Ek pal pyar ke bagair jee loge,
Ek pal kisi ke saath ke bagair jee loge..
Par us waqt ka kya?
Khud ko us rishte me kho kar,
Khud ko neecha kar ,
Khud ki najro me hi gir kar,
Kaise jee sakoge????

-


11 SEP 2022 AT 22:35

Ab har waqt khush rahe,
ye jaruri to nahi..

Udas reh kar bhi jeena jaruri hai ..
kabhi dil me kasak si uthti hai,
kabhi har ek lamha gamgeen lagta,
Kabhi har jeet hari hui lagti hai,
kabhi har pal me ghutan si lagti hai ...

To ye vo pal hai,
jab shanti se ek kone me baith jane ka,
aur apne andar ke dard ko anshu me behte jane dene ka...

Kyu ki muskurate ho bhale hi din me hazaar baar,
un hazaar muskano k peeche kayi lakh dard chhupe rehte hain..

Aur wahi dard muskaan ko aur khubsurat banati hai ...

-


24 AUG 2022 AT 20:20

You are like a light, across the miracle in my life..
The missing puzzle,
Filling in,
That emptiness in this herd of people..

You brighten my heart,
You enlighten my soul,
Like a pole star in darkest of night,
You show me path destination which I own ..

But sometimes..

There's a flicker,
Dark clouds passing by..
May be this is not meant for me,
At the end, the journey may end in a sigh...

-


29 JUN 2022 AT 19:13

Unchi ye imaartein,
Kahaniyan kehti hain...
Is unchayi tak pahuchne ke liye,
Kitne kuchh neeche chhod aye hain...

-


18 JUN 2022 AT 15:09

Azad panchi ki tarah ud,
Logon se ye kaha gaya.
Teri ye zindagi tu ji le,
Sabse yahi maine suna..

Kaise udun azad sa,
Pankhon pe bojh liye ..
Zimmedariyon aur un ummeed bhari ankhon se,
Kaise mai ojhal ho jaun....

-


Fetching Belal Quraishi Quotes