Ansab Javaid  
135 Followers · 27 Following

I'm afraid of all I am.
Joined 9 January 2019


I'm afraid of all I am.
Joined 9 January 2019
27 AUG 2021 AT 10:25

تیرا میرا کوئی واسطہ ہمیشہ تو نہیں ہوگا،
مجھے تجھ پہ اعتماد ہمیشہ تو نہیں ہوگا،
میں مجرم ہوں تیری ؛ میں آشنا ہوں لیکن،
میری ہی غلطی ہو، ایسا ہمیشہ تو نہیں ہوگا،
مجھے کیا غم تھا گر ایک ہی بار سہنا ہوتا،
ہر زخم پہ مسکراؤں، یہ ہمیشہ تو نہیں ہوگا،
مجھے اپنے درد سے آج تم اکیلے ہی لڈنے دو،
میرے ساتھ تو، اے ہمسفر، ہمیشہ تو نہیں ہوگا،
بچھڑے سے دوستی اب دوبارہ کر بھی لے درّہ،
اس کا وعدہ جھوٹا ہو،ایسا ہمیشہ تو نہیں ہوگا

-


4 AUG 2021 AT 19:56

Men come in all colours,
Just like women:
Rude and kind,
Real and fake,
Rough and soft.
Then why is it,
That you say,
"All men are trash"
"All men are dogs"?
A man bad is a man bad,
Blame not the whole manhood.
Of fingers five,
No two are same,
Of all men
How are all dogs?

-


27 JUL 2021 AT 20:55

𝚂𝚑𝚎 𝚠𝚊𝚜 𝚝𝚑𝚎 𝚋𝚛𝚒𝚍𝚎,
𝙱𝚘𝚝𝚑 𝚑𝚎𝚛 𝚑𝚊𝚗𝚍𝚜 𝚋𝚎𝚊𝚞𝚝𝚒𝚏𝚒𝚎𝚍,
𝙽𝚘! 𝙽𝚘𝚝 𝚠𝚒𝚝𝚑 𝚑𝚎𝚗𝚗𝚊,
𝚆𝚒𝚝𝚑 𝚛𝚎𝚍 𝚋𝚕𝚘𝚘𝚍!
𝙷𝚎 𝚠𝚊𝚜 𝚝𝚑𝚎 𝚐𝚛𝚘𝚘𝚖,
𝚆𝚛𝚊𝚙𝚙𝚎𝚍 𝚒𝚗 𝚠𝚑𝚒𝚝𝚎 ,
𝚆𝚒𝚝𝚑 𝚛𝚎𝚍 𝚖𝚘𝚝𝚒𝚏𝚜 𝚊𝚕𝚕 𝚘𝚟𝚎𝚛,
𝙽𝚘! 𝙸𝚝 𝚠𝚊𝚜𝚗'𝚝 𝚊 𝚜𝚑𝚒𝚛𝚝.
𝙰 𝚋𝚕𝚘𝚘𝚍 𝚜𝚝𝚊𝚒𝚗𝚎𝚍 𝚜𝚑𝚛𝚘𝚞𝚍!
𝙾𝚗 𝚑𝚎𝚛 𝚠𝚎𝚍𝚍𝚒𝚗𝚐 𝚍𝚊𝚢,
𝙾𝚙𝚙𝚛𝚎𝚜𝚜𝚒𝚘𝚗 𝚠𝚒𝚍𝚘𝚠𝚎𝚍 𝚑𝚎𝚛.

-


18 JUL 2021 AT 20:55

The air has betrayed me.
It carries your smell to me,
But doesn't let you hear
My voice that wears
A shroud of helplessness.

-


13 JUL 2021 AT 10:57

اتنی باتیں کیوں کرتے ہو، اندر سے خاموش ہو کیا؟
ہر کسی کو ہنساتے ہو، کسی نے تمہیں رلایا ہے کیا؟
تم اتنے معصوم ہو کہ اس کے وعدوں پر یقین کر لیا
سچ سچ بتانا کسی سے پہلی بار محبت ہوئی ہے کیا؟
یہ فضا مایوس اور آسماں اتنا سرخ کیوں ہے آج بھی
آج جنت میں پھر کسی کی جان قتل ہوئی ہے کیا؟
اس میں کیا حیران ہونا یہ تو صدیوں کا رواج ہے،
زمانے کو بھی بھلا اپنا عیب کبھی عیب لگا ہے کیا؟

-


6 JUL 2021 AT 12:46

Muje meri aankhein wapas do mera haq banta h dekhney ka,
Muje apne shaheedu ki naash do mera haq banta h dafnaney ka.
Muje apni mitti sonp do meri hawa ko jail na banav,
Yeh meri khaakh h khofzada mera haq banta h ladney ka.
Rok sakho toh rok lo merey qalam ki siyahi ko,
Yeh mere log hain afsurdah mera haq banta h likhney ka.
Har zulm pe idher cheekh uthe gi har zakhm idher hara rhe ga,
Yeh mera ghar hai boseedah mera haq banta h roney ka.
Mere aabshar, mere biyaabaan, mere jawan jawan qabristaan,
Yeh meri mitti h uftada mera haq banta hai tadapney ka.
Mera har ghar hai matam zada, mera Kashmir hai sulag raha,
Muje iski khushiyan ab lota do mera haq banta h hasney ka.
Yeh mera Kashmir tha, yeh martey damm tak mera hai,
Muje iski aazadi do mera haq banta h maangney ka!

-


25 JUN 2021 AT 20:33

Mere chehrey ka, uske jism ka, kisi k qad ka mazak,
Rabb-e-qayinaat pe hasstey ho? Khud se yeh poocha keejiye!
Aurat ka pardah lazim hai, mainey maana!
Ibn aadam ko b bolein nazrein neechey rakha keejiye.
Kisi ka aeib mila nahi ki aanan faanan woh faash kiya!
Hashr mai tumhara kya hoga, yeh b socha keejiye!
Muhabbatu k naam pe kya bai-hayyayi aam h,
Kis lafz ki toheeen krte ho, yeh b toh dekha keejiye!
Muashira banta logo se hai, har fard zarrori h,
Ik k badalney se kya hoga, yeh kabhi na socha keejiye.



-


25 JUN 2021 AT 20:20

Dil sheesha hota h, zara sambhal k baat kiya keejiye,
Lafzo k teeru ko zara sambhal k rakha keejiye.
Yeh kaisa samaj hai jahan har cheez k asool hain,
Mayyatt pe rona ooncha, zulm pe khamosh raha keejiye.
Aawargi aawargi hai usey ishq na pukarein,
Lafzu ka pehle matlab janiyey, phir baat kiya keejiye.
Ghar ki izzat ku ho sirf uss akeyli ki zimmedaari?
"Ladki hain, har soorat, aawaz dheemi rakha keejiye."
Woh maafi nae maangta uskey roub k khilaaf hai,
"Mard hain, shor machayein, khamosh na raha keejiye."
Logo ka kya h? So aatey hain so jaatey hain!
Zindagi ki dod mai bs khuda ko dost maana keejiye.
Har simt dhar hai, har manzar hai khof ka,
Yeh qabristaan h, issey jannat na kaha keejiye.
Tum ko lagti asaan hogi, merey liye mout si hai,
Kisi b azmayish ko, rabb k wastey, choti na kaha keejiye.

-


23 JUN 2021 AT 14:11

Mai haan mai haan nahi milati, har nuqtey pe behs krti hu,
Mai khud mai hi ik bahis hu, tumhe waqt lagega samjhney mai.
Muh band krwati hu, daleelein aisi deti hu,
Mai fitratan jagdalu hu, tumhe waqt lagega samjhney mai.
Dil ki bohat sakht hu, gussey se laal hoti hu,
Mai baat baat pe chillati hu, tumhe waqt lagega samjhney mai.
Mai apni tareef krti hu, khud ko bura b kehti hu,
Mera khud se kya rishta h, tumhe waqt lagega samjhney mai.
Mai khud ko itna janti hu, khud pe sadiyo likh skti hu,
Tumhare pass feham toh h, lekin, tumhe waqt lagega samjhney mai.

-


22 JUN 2021 AT 6:45


Muje dekho zara gor se, muje padho zara shoq se,
Mai daastan anokhi hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Mai bin wajah roti hu, mai bin baat hasti hu,
Mai insaan zara pagal hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Mai nek hu, mai badd b hu, moomin hu, kaafir hu,
Mai alag hi aik duniya hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Kitabu ki shoqein hu, padhi sirf chan'd hi hain,
Falsafyana baatein krti hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Bolti hu hadd se zyada, rukkti sadyo baad hu,
Itni baatein kahan se aayein, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Udaasi mai marti hu lekin roti bs do pal hu,
Mai aansu nae bahati, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Bs do cheezu se darti hu, pehle khuda phir muhabbat,
Bin muhabbat likhti hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Logo se doori chahti hu, tanhayi pasand krti hu,
Akeyle rehne se thakti nae, tumhe waqt lagega samajhne mai.
Mai jin se muhabbat krti hu, unn ko b rulati hu,
Mai kis kism ki ladki hu, tumhe waqt lagega samajhne mai.
-Ansab javaid


-


Fetching Ansab Javaid Quotes