Ankit Shivhare   (Ankit Shivhare)
56 Followers · 18 Following

Hume humara khud khudka pata nahi hai
Tumse umeed kya karen?
Padho aur chalte bano
Joined 23 September 2017


Hume humara khud khudka pata nahi hai
Tumse umeed kya karen?
Padho aur chalte bano
Joined 23 September 2017
22 APR AT 22:11

Wo Jenne ki, aur zinda rhne ki zid karta hai
Maang ke zami, parinda rhne ki zid karta hai
Uska bachpana baaki hai kahin shyad
Naadaani bhare khyaal hain wahin shyad
Koi samjhaaye use,

Tu aadmi hai, aasma ki chaah na kar
Bada hoja ab, apni zindagi tabah na kar

-


18 APR AT 20:55

Zindagi ki yahi do chaar mushkilen hain
Kuch manzilon ke raaste hain
Kuch raaste hi manzilen hain
Ek manzil mai bhi hu, ek manzil tu bhi hai
Ek raasta mai bhi hu, ek raasta tu bhi hai

Safar ka musafir, musafir ka safar hai
Man ki manzilon ka ghar hai
Shyad yahi paana hai
Baaki, waqt ko wapas le jaana hai

Zindagi ki yahi do chaar mushkilen hain
Kuch manzilon ke raaste hain
Kuch raaste hi manzilen hain

-


5 OCT 2023 AT 19:56

Scars so deep, I can only, not cry
So I scribble with a hope, to bleed dry
Tormented strokes and abyss in between
Locked away in a harrowed canvas of blood,
So I can be empty, So I can be serene

-


17 JUL 2023 AT 22:48

Mera, nazron se sab keh paana hi sahi hai
Mere labon ki,
Tujhe choome ke siva koi aarzoo hi nahi hai

Museebat hai teri zulfon ka ud ke aage aana
Mohabbat hai teri zulfon ka ud ke aage aana
Unhe hataate hue, meri unglio ka tujhe chu jaana
Fir muskuraaye tu, baahon me aaye tu
Sab kho jaaye kahin,
Jab meri saanson me utar jaaye tu

-


7 MAY 2023 AT 22:12

Use yu taraasha maine, wo beshkeemti sa ho gya
Fir noor-e-nazaare ki numaaish me aur kisi ka ho gya

Patthar aur heere ka fark, itna hi samjha zamaana
Kya dekhenge log sabhi, kya kisi ko bataana

-


9 APR 2023 AT 20:52

Sukoon tadpa, jhatpataya
Fir bhi humaari pakad me na aaya
Wo sitam ki dehleezen paar karta gya
Humne to bas muskuraaya

Hosh, haq, haden
Haalaat, himmat, hasratein
Mohabbat talaashne nikle the kabhi
Na jaane kya-kya kho baithe hain

-


25 MAR 2023 AT 0:17

Kissay kahaaniyan
Waqt ki meharbaaniyan
yahin hain saari nishaaniyan
Musaafir hain apni zindagi ke sabhi
Sab yahin hain
Saare nazaare yahin hain
Sab manzilen, sab kinaare yahin hain
Humaare yahin hain
Aur ye aasmaan bahut khaali hai saahib,
Sab sitaare yahin hain

-


18 MAR 2023 AT 23:09

A curse, or cost of his thoughts
He's lost, when he thinks,
He looses himself, sinks

So then he clings to distractions
Anxiously hollow abstractions
Superficial shallow satisfactions

He enjoys the pain
All over him, again and again
Until, he goes insane

But,

You can hold his hand
And tell him, it's not the end
Tell him it's not the end

-


10 MAR 2023 AT 19:47

Khata bhi meri nazron ki rahi
Accha hota,
jo kambakhat tujhe dekhti nahi
Kyoki kaabu me kar leti ho tum,
mere khyaalon ko, sabhi sawaalon ko
Nazren milaao, to jaise thehra hua samandar
(Khyaalon ka samandar)
Nazren jhukaao, to jaise shaam ki lehren
(Unka chhedna, itraana)
Aur muskuraao, to baarish
(Bheeg kar bhi mera bheegte jaana)
Tum samajh bhi jaao, to aafat kam nahi
Khata bhi meri nazron ki rahi
Accha hota,
jo kambakhat tujhe dekhti nahi

-


3 MAR 2023 AT 23:53

Apne ghar ko pinjra banaaya maine
Fir  pinjre ko khoob chamkaaya maine
Aur saansen leta raha ta umr mai
Saans-saans khud ko gavayaa maine

-


Fetching Ankit Shivhare Quotes