Anand Singh Parmar   (Baba Photonath)
176 Followers · 371 Following

read more
Joined 8 May 2017


read more
Joined 8 May 2017
24 MAY 2021 AT 19:20

Tu door sahi
Par naraz nahi,
Tu dil ke paas sahi
Bhale mere sath nahi,

Teri yaad barsaat sahi
Mujhe chhu ke toh guzaregi,
Tu koi adhura khwab nahi,
Jiske afsos ki aag, na bujhegi.

-


7 MAY 2021 AT 22:15

Kahin hawa nahi
Toh kahin jagah nahi,
Kahi sansein hai toh
Fir jeene ki wajah nahi,

Koi bhaag raha
Koi doud raha
Koi cheekh raha
Koi bol raha

Ek zaraurat sabki hai
Sanson ki bas ginti he
Gin gin kar ab thak gaye
Apne yun hi door huye

Door ho jald ye badal kala
Aasmaan pe jo hai chhaya
Ho baarish ghanghor ghata se
Dhul jaaye fir marz ye sara.

-


22 AUG 2020 AT 23:54

Shunya hi satya hai
Shunya me jagat hai
Shunya se shuru he sab
Sab shunya pe khatam hai

Shunya hi dhuaan hai
Shunya aasmaa hai
Shunya hi samay hai
Shunya hi hawa hai

Shunya se hi ank hai
Shunya hi nirank hai
Shunya hi bramand hai
Shunya hi anant hai

Shunya se hi tu hua
Shunya hi se main hua
Shunya se hi sab hue
Shunya pe hi sab ruke
Shunya hi sansar hai
Shunya jeevan ka saar hai
Shunya hi insan hai
Shunya me hi bhagwan hai.

-


18 AUG 2020 AT 11:04

Khamoshiyan barsat hai
Tum aa bheeg jao kabhi
Khamoshiyan jazbat hai
Tum ankhon me jhanko kabhi
.
Ansuo ka hai, samandar bhara
Behane do inko zara
.
Khamoshiyan simti hui
Khamoshiyan
Khamoshiyan uljhi hui
Khamoshiyan..

-


17 JUN 2020 AT 19:43

Main Raat Hu..
Tum Meri Subah Banogi Kya ?

Main Raah Hu..
Tum Meri Manzil Banogi Kya ?

Main Jism Hu..
Tum Meri Rooh Banogi Kya ?

Main Jasbaat Hu..
Tum Mere Alfaaz Banogi Kya ?

Main Baadal Hu..
Tum Meri Barsat Banogi Kya ?

-


16 JUN 2020 AT 19:00

Dikhave ki duniya hai
Dikhave ke log,
Gale se toh lagate hai
Dil me rakhte khot,
Mann me hogi kadwahat
Muh pe mithe bol,
Batein hazar hai kehte
Baton ka na koi mol,
Khaami jo dikhe kisi ki
Dete jhatt se tol,
Khud ki kami na dikhe kabhi
Chahe ho ghanghor,
Khushhal ho duniya jo
Jo mit jaaye ye rog,
Laailaj h matlab ki bimari
Isse marte kitne roz,
Matlab ki ye duniya hai
Matalbi hai log.

-


16 JUN 2020 AT 14:27

Mujhko chubhti hai ab
Yadon ki dil me jo faans hai,
Pal chinn lagte sitam
Dil me ye jalti kyu aag hai...
Bekhayali me bhi tera hi khayal aaye,
Door hoke bhi kyu tu mujhko sataye.

-


15 JUN 2020 AT 21:33

Ghar se door shehar me hu
Jane kese is waqt ke pehar me hu
Pehle jab ghar the tab shehar ke
Awarapan ki chahat thi
Ab jab shehar me hu toh ghar ke
Anushasan ki zarurat hai.

-


14 JUN 2020 AT 23:39

Bheed me toh khada tha fir bhi akela tha
Jag me to roshan tha dil me andhera tha
Andhera hi le gaya usko andhere me
Uske liye shayad andhera hi savera tha.

-


14 JUN 2020 AT 23:37

Kuch kehta to shayad aur bura lagta sabko,
Isiliye shayad bina kahe kuch chale gaya vo.

RIP SUSHANT SINGH RAJPUT

-


Fetching Anand Singh Parmar Quotes