Alam Khan β˜‘οΈ Β  (Alam Khan)
3.0k Followers Β· 4.3k Following

read more
Joined 28 June 2018


read more
Joined 28 June 2018
20 NOV 2022 AT 11:51

Dil mein hee dafn kar diya
Jo dil ki muraaad thii

Shayad imtehan se pehle hee
Anjam ki khabar thii

Kuch Gulab sey milti julti
Ye apni daaastan hai

Kaaantein iski haqeeqt hai
Warna Pankhudiyan toh
bass kuch dinon ki mehmaaan hai

-


11 AUG 2022 AT 19:15

Aansuon se koshish ki ,ke dil ki aag ko bujha lein

Magar ye aag hai k bujhti hee nahi

Zakhmon pe marham bhi be-asar hai
Inn zakhmon k daag hai k mit-tey hee nahi

-


22 APR 2022 AT 21:24

Naa zid hai meri
Aur na hee koi junoon hai

Iss bechaini mein bhi
Alag qism ka sukoon hai

Saansein tham jaati hai
Bas uske nazar bhar dekhne se

Dhadkanon pe ab naa jaane laagu
Kiski hukummat ka kanoon hai

-


25 FEB 2022 AT 12:35

Kyun karte ho afsoos
k wo badalte mausam k saath hee
badal gaye

Aakhir sardiyon ki
suhani dhoop bhi garmiyon mein
aksar chubhne lagti hai

-


16 FEB 2022 AT 12:04

Shikwe kaee thaey magar kabhi faryaaad nahi kia

Uski bedardi mein dil ko barbaad kar dia

Uske jhoot ginne baith-tey , toh naa jaane kitne arsey guzar jaaate

Iss-liye uske waaadon ka maine kabhi hisab nahi kia

-


7 FEB 2022 AT 23:40

Toh kya hua agar tumhe kisine gulab nahi diya

Kam se kam kuch kaanton sey toh hifazat hoo gayi

-


28 DEC 2021 AT 10:48

Kuch iss qadar mashroof
rehne lagey hai wo

K humse abb baat
bhi nahi karte

Mana k bhule nahi hai
wo humein

Magar humein yaad bhi
toh nhi krte

-


25 DEC 2021 AT 11:10

Hey there πŸ‘‹πŸ»πŸ˜

Are you sad about not getting a gift on Christmas ?

Wait a minute

Were you not told that you are the biggest gift under the Christmas tree that Santa left for someone on a special requestπŸ€” ?

Merry Christmas πŸŽ„β˜ƒοΈπŸŽπŸ˜Š

-


20 DEC 2021 AT 23:09

Naa jaaney khuda ka kaisa ye faisla hai

Manzil aur mere beech ghat-taa nahi faasla hai

Ajeeb kism ki kashmakash mein ghira hunn

Ab naa hee zindagi ki khaas khwahish hai
Aur naa hee maut ka ghila hai

-


15 DEC 2021 AT 22:28

Uski oor chalun, ya us-sey duur
Barkaar rehta humesha faasla hai

Kuch iss qadar pechida saa
humara ye maamla hai

Usey naa chahna b aasan nahi
Naa hee izhaar krne ka hausla hai


-


Fetching Alam Khan β˜‘οΈ Quotes