Tripta Nanwani   (Tripta_tanu_Nanwani)
406 Followers · 129 Following

read more
Joined 29 March 2017


read more
Joined 29 March 2017
23 FEB AT 6:17

Ghar jaane ki ichcha mein,
Ghar hi nahi ja pa rahi,
Kitna bhi paraye desh raho,
Sukoon toh apne Ghar mein hi aata hai,
Kitna bhi paraaye desh ko apna kaho,
Asal ghar toh apna desh hi kehlata hai,
Ghar ka khana,
Ghar ki barish,
Ghar ki galiyaan,
Bus ab mujhe ek din ghar jaana hai

-


7 AUG 2023 AT 5:42

"Like a Phoenix, I rise from the ashes, stronger and more magnificent than before."

Scorpio traits

-


17 JUL 2023 AT 17:40

यतो हस्तो ततो दृष्टि,
यतो दृष्टि ततो मनः।
यतो मनः ततो भाव,
यतो भाव ततो रस।

"जहां हाथ (हस्त) जाएगा,वहां आंखें (दृष्टि) जाएगी।
जहां आंखें जाएंगी, वहां मन (मनः) जाएगा।
जहां मन जाएगा, वहां भाव (भाव) जाएगा।
जहां भाव जाएगा, वहां रस (रस) जाएगा।"

-


6 JUL 2023 AT 3:43

Haqueeqat toh yeh hai ki,
kisi bhi shaksh ki kisi ki bhi zindagi mein,
koi apni jagah nahin hoti,
Sub banjare hain.

Aaj iski zindagi ka safar,
Kal uski zindagi ka safar.

Har kadam pe raahein juda, manzilein anjaani,
Dil ki gehraiyon mein chhupi hain bepanaah kahani.

Dosti, mohabbat, rishte sab yahan aate hai aur chale jaate,
Dil se jude log bhi kabhi anjaane ban jaate.

Banjaron ki tarah chalna, rukna nahin hai hamein,
Kuchh khona hai aur kuchh paana hai hamein.

Haqueeqat samajhne ki der hai humein,
Banjare hain hum, yeh sach hai, samjhe.

-


6 MAR 2023 AT 14:08

Wo jalwa jo ozhal bhi hai saamne bhi,
Wo jalwa churane ko jee chahta hai,
Wo jalwa churane ko jee chahta hai,
Dil_o_jaan lutaane ko jee chahta hai...

Song: nigahein milane ko jee chahta hai
Singer: asha bhonsale
Artist: Nutan
Film: dil hi toh hai (1963)
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi❤️

-


25 FEB 2023 AT 2:30

Chhod kar gayi thi toh mera tha,
Wapis aakar dekha toh wo kisi aur ka ho gaya,
Mana ki koi vada nahin tha,
Vaade ka koi iraada nahin tha,
Par thoda toh intezar karta,
Jhootha hi sahi,
Thoda toh pyar karta,
Mai bhi jhalli sochti rahi ki wo mera hai,
Aray wo sirf mera nahin,
Har kisi ka hai,
Itni kam umar mein itna tajurba kafi hai,
Ab door ho jaun iss zeher se,
Bus baat zara si hai...
Mohabbat usne bhi ki,
Dukhi wo bhi hai,
Karmo ka khel hai sub,
Chalo acha hai jo bhi hai,
Dua hai ki sadbuddhi mile usse,
Kyunki istemaal toh ho raha hai uska,
Ab wo jaisa bhi jo bhi hai...

-


25 FEB 2023 AT 2:13

Jab bhi mauka mile toh doston ka imtihaan lena,
Jo sath de uska sath dena,
Jo apko upar rakhe pehle usse upar rakhna,
Kehne ko har koi dost hota hai par,
Waqt padhne par dost dost hota hai,
Mujhe mauka mila,
Maine imtihaan liya,
Aur samajh aaya,
Kiske sath kab kaise nibhana hoga,
Jab dost ko zaroorat ho toh,
Usko kya kab kaise jataana hoga,
Sun lo jhooth, sun lo bahaane aur khamosh raho,
Humne dekh liya yeh zamana,
Ab aane wale waqt mein,
Humara bhi zamana hoga,
Kuch nayaab heere hain,
Aur kuch heeron ke roop mein patthar,
Jo patthar hai unhe toot jana hoga,
Jo heere hain wo tan mann mein sajana hoga..
Ae dost tu fikr na kar,
Tera bhi ek waqt aana hoga

-


25 FEB 2023 AT 2:00

Baaton baaton mein jab dil ki baat zubaan par aai toh laga ki kitni der ho gayi,
Dono ki nazrein bol rahi thi aur waqt jaise tham sa gaya tha,
Saalo se chuppi lagi thi jo samaj ke kaaran,
Aaj wo tooti toh pata chala,
Asli mohabbat mein dil toota nahin karte,
Judd jaya karte hain,
Khushi toh iss baat ki hai gham dono ka ek sa tha,
Gham iss baat ka hai ki ab wo waqt guzar gaya,
Lamha bus nigahon ke manzar mein qaid hai,
Par shayad aaj sabra na tootata toh kabhi na tootata

-


14 JAN 2023 AT 13:04

Dont look back,
Dont think what will happen now,
Put your best foot forward and move,
Keep moving until you don't reach where you want to reach,
Past can't be resonated,
Future can be built,
Age,caste,gender,number ..
All are excuses to stop you
Empires took millions of years to build
You have just started.
Believe in yourself.
Be Sherpa of your life.
Trust me, this is just the beginning
Hurdles are part of life,
Which makes you understand the art of life,
So move like a sherpa and never give in.

-


13 JAN 2023 AT 22:36

बढ़ी मुद्दतों बाद दो दिन मिले हैं जीने को,
बस अब ये वक्त कोई नाइंसाफ़ी तो बहतर।

बिना कुछ सोचे कल कहीं निकलेंगे,
देखो कहां जाकर रास्ता खत्म होगा ।

-


Fetching Tripta Nanwani Quotes