Ruhaniyat aisi dillagi Hai tujhse,
Ke ek lamha bhi tere begair guzara manzoor nahi hai.
Teri hone se Inaayat-e-khuda ka aisa asar hua hai mujhpar,
Ke us anmol kohinoor ko choona tak waqf-e-kashmakash ka sabab ban gaya hai.
Tulu-e-aftaab tere nazaare ki talab karta Hun,
Ke tera chehra, ba dastoor mera aaina ban gaya hai.
Chahun bhi toh kya is shabab se main,
Ab toh har saans mein tera naam mayassar hogaya hai.
Teri galiyon mein baithkar tere naam ki tasbi'h na ginte baith jaaon,
Lihaaz toh bas ab isi baat ka mujhe karna hai.
Bàr khuda apna wajood tere kadmón tale chodkar aana hai,
Mere Ishq ka paimana liye apni hayat tere hawale kar aana hai.
-