Suchishra Tripathy   (Suchishra's Tiny Words)
370 Followers · 199 Following

Trying to touch souls through writing!😇
Bongo Naari❤
Joined 19 May 2017


Trying to touch souls through writing!😇
Bongo Naari❤
Joined 19 May 2017
27 AUG 2022 AT 19:01

Tum mujhe bhul jaaona
Ab tumhari baatein suhani nahin lagti.
Batado na hai koi tumhara apna
Uss dur seher ke kisi gali me,
Warna yun hi kisi ki kahaniyaan
Jhuti toh nahin lagti!
Agar phir kabhi yaadon me
Dastak de dun tumhari,
Toh dabe paaon aa jana
Waqt ko behlaake,
Yaadon ko yun hi bhula dena!

-


2 MAR 2022 AT 14:06

Naraz nahin hun tumse
Thoda sa bas hak ka khafa hun
Hak bhi ab raha nahin
Tera vaasta ab yahan nahin
Jaanti hun tujhe ab fark nahin padta
Dooriyon se tujhe darr nahin lagta
Jaan samjh kar ishq kar baithe
Tum bejaan samjh kar yun hi chale gaye!

-


14 JAN 2022 AT 7:55

Yaad hai?
Ek waqt tha jab,
Doston ko rok dete the,
Waqt ko tok dete the!
Aaj bhi ek waqt hai,
Doston se dur hai,
Mashgul waqt se majbur hai.

-


23 DEC 2021 AT 9:37

Kuch hua hai jo tu itna badal gaya
Duniya se itni nafrat kar raha
Ek baari mujhe azmaa kar dekh
Dur se hi sahi apna maan kar dekh
Tere khusiyon ko main dubne nahin dungi
Haath badhha kar toh dekh
Ek baari mujhe azmaa kar dekh
Main woh waqt nahin jo badal jaaye
Main toh kinara hun
Tu mujhse takraye
Aur gam bhul jaaye.

-


14 NOV 2021 AT 7:11

Unn hostel ki raaton me,
Maa ke haath ke khaane ka,
Swaad bada sataata hai.
Iss bhojan ke ek niwale se,
Mera dil bhar jata hai.
Kya kahun iss dawat ko,
Shaandaar aur lajawaab,
Chand shabd kam pad jaate hai.
Ye jo swaad parosa gaya hai,
Din me char chaand laga dete hai.

-


19 OCT 2021 AT 9:00

Woh jo tujhse pehli baar aakhein mili thi
Dil badi zoro se dhadka tha.
Har baar jab nazren teri taraf mudi thi
Tere chehre ko bada nihaara tha.
Kuch toh ye bhi kehna chahta tha tujhse,
Par fer liye nazron ne disha khud se.
Halki si ek mushkaan thi hothon par,
Shayad tujhe bhi dikhi thi!
Dil-o-dimag jaanta tha
Ek tarfa mohabbat ho gya mujhe bhi.
Pure din ki thhakaan gaayab ho jaati,
Sirf teri ek jhalak se.
Uss din teri aankhen padhi maine bhi,
Keh rahi thi mujhse,
"Ye jo ek tarfa ishq hai tera
Mujhse hi hona tha?"
Duniya ke riwaaz kuch yun bich aaye,
Mujhe bhi darr laga
Tune bhi nahin pucha!

-


5 OCT 2021 AT 18:45

Thi kisi se hume bhi mohabbat
Waqt ke saath jo ban gayi nafrat
Hum toh chup reh kar sab seh bhi lete
Wo the ki dil ke tukde kar dete
Bas kuch yun hi thi humari dastaan
Ishq nhi, thi shayad imtehaan.

-


11 MAY 2021 AT 16:50


Betiyon ki zindagi bhi kuch azeeb hai,
Duniya ki shayad yahi tahzeeb hai.
Kuch ke toh dil ke kareeb ho,
Kuch se dur unki naseeb jo.
Woh kehti thi maaike me mera mann hai,
Jo kehte usko paraya dhann hai.
Suna hai usse,
Kehti thi sasural toh mera apna hai,
Suno! Ek raaz hai,
Ye lagta paraya sa koi sapna hai!

-


14 APR 2021 AT 13:28

Teri ek jhalak ko taras gaye,
Bewajah yeh aankhen baras gaye.
Woh waqt yun hi bikhar gaya,
Yeh chehera teri yaad me nikhar gaya.
Lautna ab manzoor nahin,
Main tujhse door hun,
Yeh mera toh kasoor nahin.
Yaadon ki puraani galiyon me,
Badal sa chha gaya.
Tere naam se din hua karta tha,
Ab tu iss dil se utar gaya.

-


3 APR 2021 AT 19:54

Dil aaj bhi kehta hai
Ki wapas chali jaun
Ek baar teri nazar ko
Apni nazar se nihaar aaun
Jo adhoora chhod aayi hun
Uss baat ko khatam kar aaun
Kya karu bebas hun
Tere jawaab se anjaan hun
Sach toh keh dun
Lekin darr hai
Ab naa sunne ki himmat
Kahan se laaun?

-


Fetching Suchishra Tripathy Quotes