Sh'Ah Ro'Ohul   (Rooh...)
21 Followers · 4 Following

Poets are always born out of the oppression. But everyone can reflect differently.
Joined 20 March 2017


Poets are always born out of the oppression. But everyone can reflect differently.
Joined 20 March 2017
10 MAY 2022 AT 1:50

Ikhtiyaar

Hamari dastaan ab yaad hogyi mjhe zabaani
Jaise koi nayi ghazal meri hogyi ho purani
Tumhen toa bas mera satana yaad hoga
Main harf harf likhraha hoon hamari kahaani
Yoon toa laga tha ki tu bhi yahin dafan hoga
Meri qabar par jo lipta, ye tera hi toa kafan hoga
Main rooz jalta hoon parwana ban kar teri yaad main
Tu bhi jhal jaye agar, toa zaat-e-rooh par sitam hoga
Ahd-e-wafa bhoolna chahoon bhi main agar ek baar
Tere azam kay samany, mera ikhtiyaar haram hoga

-


5 MAY 2022 AT 10:29

Mujhe yaqeen tha husun ki daga baazi par
Bas ehtiraam-e-ishq mai khamoosh betha tha

-


3 MAY 2022 AT 10:15

Usse koi aawaz de, meri rooh ko azaab hai
Qabar mai mojood wo, kuy mere dil ko iztiraab hai
Sharm-saar hoon main apne wajood par is qadar
Yom-e-Eid bhi lagta mujhe bas ek saraab hai...

-


27 APR 2022 AT 22:22

Ye ziyafat-e-bazar kab tak rahy gi maayasar
Kabhi na kabhi ghar ki qadar aaye gi tumhein

-


20 APR 2022 AT 19:31

Raqs-e-Bismil

Sharait par khady na utro toa muhabt fanah hai
Parsai jo oodh li tum nai toa ishq b gunah hai
Kabhi toot kar sambhly, Toa kbhi sambhl kar bikhr gye
Aazad parinday thay hum, ab ghulam hokar reh gye
Sawal-e-judai karoon toa tere ishq ki toheen hogi
Khamoosh reh le rooh, toa tere ehsaas ki tardeed hogi
Bulbul-e-nakaam hoon, mujhe nahi hai tootne ka dar
Raqs-e-bismil samjhoon tujhe ya, Ishq-e-Lakamil ka ghar

-


14 APR 2022 AT 20:12

Kahaani

Fursat se likh raha hoon main kahani apni
Muje hogyi hai yaad dastaan zabaani apni
Shehar-e-Veraan mai guzar hori hai zindagi jo
Kisse ilim asal main, kya hai sachayi apni
Sabar se pehly bhi takrya hoon mai bhut baar
Maiqade mai karli rooh nai barbaad jawani apni
Wasl se wisal-yaar tak ka safar yaad karna hi kuy saaqi
Mere greheban se lipta hua hai uska wajood saaqi
Yoon toa mijaz mai apne hai talakh kalaami bhut
Fir kuy kargya rooh uskay hawaly beenayi apni.

-


22 NOV 2021 AT 22:06

Ye jo aj kal poocha rahy hain mera takhalus
Kabhi mere naam ki karty thay tardeed

-


14 NOV 2021 AT 19:55

Meri niyat mere ikhtiyar main hai hi kahan
Mera bad-kirdar hona, meri rooh se munsalik nahi

-


11 NOV 2021 AT 10:40

Teri yaad main gamzada dil-e-yateem is qadar
Ki rooh-e-asar ko hi Lauh-e-mazar kardiya

-


30 OCT 2021 AT 13:27

Meri soch se ikhtilaaf rakhtay ho
Meri niyat par toa aitiraaz nahi

-


Fetching Sh'Ah Ro'Ohul Quotes