Sarah Daniel   (SQ)
524 Followers · 932 Following

read more
Joined 5 May 2017


read more
Joined 5 May 2017
25 JAN 2022 AT 22:22

"You only know the value of something when you lose it."

There's not any individual who can't relate to this. But why? Why can't we appreciate little things? Why can't we appreciate things at the right moment? Just a smile, just a nod, one word, one hug, one compliment, it's doesn't take much to value something when it's there. We always want risks and excitement and take what we already have for granted. We don't even realise what we're losing on, until we've lost it. Now what's the point of it all if it had to be shattered into pieces? And apologies have never been able to join back the broken pieces into whole.
Now what's left, is us in pieces, in photographs and the words that are still hanging in the air, in faded memories and the laughter that echo in our ears.
But then, do we ever learn?
We do it over and over again.

-


17 DEC 2021 AT 0:19

One act. One decision. One choice.
It all leaves a mark.

-


18 JUN 2021 AT 12:53

Faqhar tha jiss mohabbat par
Woh kahi peeche choot gaya
Murhke dekha toh yaad aaya
Khud maine haath chora tha

-


18 JUN 2021 AT 5:20

Tujhse duri thi bohot lekin
Teri yaadon ne teri kami puri kardi
Jo hisse ki khushi tune nahi di
Woh khushi khayalto me tune puri kardi
Ab inn hijr par nikli aansuo se zyada
Inn khwaabo par nikli muskurato se pyaar tha mujhe
Tere lautne ke jhoote waado se zyada
Tere chehre pe beimaani ke nishaano pe yaqeen tha mujhe

-


12 MAY 2021 AT 0:49

Ek zanjeer hai ehsaason ka
Bharam hai ek rishte ka
Phir bhi yeh dil nikal para hai
Najaane kiske khoj me
Khudke ya kisi shaks ke
Ya shayad unn chand jawabo ke

Abhi safar lambi hai
Raaste dhundhli hai
Magar tum chalte rehna
Ki khoj abhi baaki hai

Chalte chalte bohot log milenge
Koi haath pakar kar chalenge
Toh koi khudke diye zakhm pe
Marham banke baith jayenge
Magar tum chalte rehna
Ki khoj abhi baaki hai

Phir jab shaam dhal jaaye
Toh tum ghabrana mat
Woh tumko dikh nahi rahe
Magar tumhare paas abhi log hai

Unme se kuch jala denge khudko
Roshni dene me tumko
Phir tum unse shikayat na karna
Ki kyu chor gaye tumko
Magar tum chalte rehna
Ki khoj abhi baaki hai

Phir chalte chalte ruk na jaana
Apni khoj me gawayi zindagi pe ranj na karna
Jo mohabbat mili thi dosto se tumko
Usko qubool na kar paane pe afsos bhi karna
Magar tum chalte rehna
Ki khoj abhi baaki hai

-


17 MAR 2021 AT 2:07

Tumhare raato me aane wali gehri khaamoshi ko
Tumhare din ke khwaabo se pehle sunungi

Tumhare aankho me base paani ko
Tumhare muskurahat se pehle pehchanungi

Tumhare ghaltiyo ko
Tumhare achaiyo se pehle samjhungi

Phir jo koi bin jaane tumhe nikaale khaamiya tujhme
Mai bass apni mohabbat par ghuroor karke hass dungi

-


11 MAR 2021 AT 9:37

Kuch waqt ke baad na hum rahenge
Kuch waqt ke baad na tum rahoge
Reh jaayenge toh bass yaadein
Woh pal saath guzaare hue
Unn bagheecho me aur sahil ke kinaro me
Ek ehsaas banke, hawao me
Ek wajood banke unn kinaro pe
Ek misaal banke unn naye logon pe
Jo seekh rahe hai mohabbat karna hamari tarah
Kyuki kuch waqt ke baad na tum rahoge
Kuch waqt ke baad na hum rahenge

-


18 FEB 2021 AT 23:53

Kal jo mere zindagi ko koi
Jannat banayega
Woh tum na hoge
Kal jo mere haatho ko koi
Chumne ka haqdaar hoga
Woh tum na hoge
Kal jo sikhayega koi
Beintehaa mohabbat ka matlab
Woh tum na hoge
Kal jo koi
Mere fikr aur khayalo me hoga
Woh tum na hoge
Kal jo koi
Mere khushi ka sabab hoga
Woh tum na hoge
Kyuki kal mere zindagi me
Kisi aur ko aane ka mauka jo dega
Woh tum hi hoge

-


18 FEB 2021 AT 0:16

Yeh jo teri bekhudi si mohabbat hai
Uske buniyad pe khudke khushnaseebi pe ghuroor karoon
Ya tera mujhe bekhudi me hara dene pe gussa karoon

Mera khudka khayal na rakhne pe jo tu mayoos hojaye
Toh uske peeche ke mohabbat pe naaz uthaoon
Ya tere pareshani ka wajah banne pe khudse naraaz hojaoon

Tere jaisa na mile agar dhoodhoon jo chiraagh leke bhi toh
Toh iss anmol heere ki qismat me hone pe fakhr karu
Ya khudko tere qaabil na bana paane pe khudse nafrat karu

-


6 FEB 2021 AT 21:37

Dil ko ghere jo deewar
Woh kankaro se toota nahi karte

Dil jo ghira ho sheeshon se
Woh zyada din chala nahi karte

Toote sheeshon ne khaayi ab yeh qasam
Jo aaye paas use rahenge lahuluhaan karke

Dil bechara masoom
Reh gaya akele khudko bachate bachate

-


Fetching Sarah Daniel Quotes