7 MAY 2017 AT 0:29

Nazron par vishwas ki chadar odhe
Doston aur gairon me fark na kia
Usne sabhi ko apna smjha
Sabko barabar pyaar diya

Ve begairat!
Uski chahat ko uski kamzori samje
Janaza nikala uske jazbaaton ka
Uske dil ko khilona samje

Ve aankhen moond kar
Apni dosti nibhati rahi
Kacche dhaagon ki dor pakde
Bandhan me piroti rahi

Anjaan thi ve is baat se
Unke chehron ke peeche ke raaz se
Khokhle dilon par dastkhat deti
Ve dur hoti gai unke paas se

Khanjar bhoka peeth par
Ghayal kia uske bharose ko
Haste rahe ve use besahara dekh kar
Saasein thami uski ye berukhi jaan kar

- Prerna