Md Zeeshan Ali   (محمد ذیشان علی)
1.1k Followers · 251 Following

Mukhtasir alfaaz
Joined 9 January 2017


Mukhtasir alfaaz
Joined 9 January 2017
19 DEC 2023 AT 23:42

Waqt thahar gya hai tujh pe aake,
Tu aj bhi pahli mulaqaat si lagti hai

-


5 OCT 2021 AT 21:29

Zindagi ki bhi apni uljhanei'n hai'n,

Woh bhi har roz ik shaam talaashti hai.

-


14 SEP 2021 AT 14:31

Woh murjhaaye phoolo'n ki qurbat ka asar ho shaayad,

Ik shakhs bikhraa saa, khud saa hi ishq talaashta hai.

-


30 AUG 2021 AT 22:44

Tum mere baad bhi kahaaniyaa'n likhnaa,
Hansne ki, muskuraane ki, roothne ki, manaane ki,
Zindagi ki kahaaniyaa'n likhnaa, hamaari kahaaniyaa'n.

Mujhe tumhe padhna achcha lagta hai,
To bolo likhoge naa?
Wo pahli mulaqaat,
Chori si hui har baat,
Woh bichad jaane ka darr ki kya hoga,
Woh dua pe yaqee'n ki tu mera hoga,
Phir tera abad ke liye mera humsafar hona,
Sab likhoge naa?

Tere saath guzri har saans muhabbat hai,
Ik khoobsurat safar, ik khoobsurat hamsafar,
Khwaab si rangat liye, kuch adhoori, kuch bikhri si,
Khazaa'n aur bahaar si apni kahaaniyaa'n,
Tum likhoge naa?

Ab ki jaane pe mera lautnaa mumkin nahi,
Ajal ki dastak hai ki saansei'n ab aur nahi,
Magar tum mayoos mat hona,
Humne zindagi jee hai aur kya jee hai!!
Tum likhte rahnaa,
Muhabbat ki kahaaniyaa'n, zindagi ki kahaaniyaa'n, hamaari kahaaniyaa'n,
Tum likhte rahnaa!!!

-


23 JUN 2021 AT 8:43

Har taraf nishaa'n tha yahaan zindagi guzri hai,

Ik shaks umr ke saath khaali makaa'n rah gyaa.

-


14 OCT 2020 AT 2:14

Yeh nafrato'n ki nasal hai,

Muhabbat ke qisso'n se chaunk jaati hai.

-


22 JUL 2020 AT 4:40

Ab muhabbat me tere baad ki kahaani nahi hogi,

Yaa to us shaam pe ruk jaaunga, yaa phir raat me dhal jaaunga.

-


18 JUN 2020 AT 22:28

Main ik aisa ajnabee tha,

Jise har shaks pehchaanta tha.

-


29 JAN 2020 AT 21:08

Daastaa'n kuch yun bhi muqammal hui...

Main bikhar ke ajal ki tasdeek kar gya,

Aur woh khazaa'n ke baad ka bahaar ban gya.

-


25 OCT 2019 AT 10:15




Sometimes a fear you can't explain,

defines the love that you can't explain.

-


Fetching Md Zeeshan Ali Quotes