5 APR 2017 AT 20:59

Mehez chehre par hi nahi
phenka gaya tha woh ek umr par
ek sadi par, kisi ki zindagi par

phenka gaya tha kisi ki udaan par
kisi ki himmat par, kisi ke faisle par
woh tezaab

mehez chehre par hi nahi
phenka gaya tha kisi ke virodh karne par

Aaj woh band hai chaar deewari me
uske khwaab kafan me lipte hai
deewaro par dard darz ho rahe hai

kyunki mehez chehre par hi nahi
phenka gaya tha udaano par, kisi ki manzil ke raah par

Ab woh khidkiya band raha karengi
Ujaale ab nahi jhaaka karenge
ab aangan fir suna ho jaega

kyunki mehez chehre par hi nahi
phenka gaya tha rooh par, kisi ki aabru par

Ek din sabhi betiya
is aag me jhulas jaegi
aur ho jaega sheher banjar saara

aisa sheher tumhe hi mubarak
kyunki

mehez chehre par hi nahi
phenka gaya tha tezaab zindagi par

- अंश